الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب العتق
Kitab: Ghulamon ki azadi ke bayan mein
باب كراهية التطاول على الرقيق، وقوله عبدي، أو أمتي:
Bab: Ghulam par dast drazi karna aur yun kehna ke ye mera ghulam hai ya laundi makrooh hai.
Show diacritics
Hadith Number: 2551
حدثنا محمد بن العلاء، حدثنا ابو اسامة، عن بريد، عن ابي بردة، عن ابي موسى رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" المملوك الذي يحسن عبادة ربه، ويؤدي إلى سيده الذي له عليه من الحق والنصيحة والطاعة له اجران".
Hum se Muhammad Bin Alaa ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, unhon ne Buraid Bin Abdullah se, wo Abu Burda se aur un se Abu Musa Ash'ari (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Ghalam jo apne rabb ki ibadat ahsan tareeq ke sath baja laye aur apne aaqa ke jo is par khair khwahi aur farman bardari (ke huqooq hain) unhein bhi ada karta rahe, to ise dugna sawab milta hai."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 97
اخبرنا محمد هو ابن سلام، حدثنا المحاربي، قال: حدثنا صالح بن حيان، قال: قال عامر الشعبي: حدثني ابو بردة، عن ابيه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ثلاثة لهم اجران، رجل من اهل الكتاب آمن بنبيه وآمن بمحمد صلى الله عليه وسلم، والعبد المملوك إذا ادى حق الله وحق مواليه، ورجل كانت عنده امة فادبها فاحسن تاديبها وعلمها فاحسن تعليمها ثم اعتقها فتزوجها فله اجران"، ثم قال عامر: اعطيناكها بغير شيء قد كان يركب فيما دونها إلى المدينة.
Hum se Muhammed bin Salaam ne bayan kiya, unhon ne kaha hamein Muharibi ne khabar di, woh Saleh bin Haiyaan se bayan karte hain, unhon ne kaha ke Amir Sha’bi ne bayan kiya, kaha un se Abu Burdah ne apne baap ke waaste se naql kiya ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke teen shakhs hain jin ke liye do-guna ajr hai. Ek woh jo ahl-e-kitaab se ho aur apne Nabi par aur Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam par imaan laaye aur (doosre) woh ghulam jo apne aaqa aur Allah (dono) ka haq ada kare aur (teesre) woh aadmi jis ke paas koi laundi ho. Jis se shab-baashi karta hai aur use tarbiyat de to achchi tarbiyat de, ta’leem de to umdah ta’leem de, phir use aazad kar ke us se nikah kar le, to us ke liye do-guna ajr hai. Phir Amir ne (Saleh bin Haiyaan se) kaha ke hum ne yeh Hadees tumhein baghair ujrat ke suna di hai (warna) is se kam Hadees ke liye Madinah tak ka safar kiya jaata tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2546
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:"العبد إذا نصح سيده واحسن عبادة ربه، كان له اجره مرتين".
Hum se Abdullah Bin Maslama ne bayan kiya, unhon ne Imam Malik se, unhon ne Nafi se, unhon ne Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) se ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Ghalam jo apne aaqa ka khair khwah bhi ho aur apne rabb ki ibadat bhi acchi tarah karta ho to ise dugna sawab milta hai."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2548
حدثنا بشر بن محمد، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، سمعت سعيد بن المسيب، يقول: قال ابو هريرة رضي الله عنه: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" للعبد المملوك الصالح اجران، والذي نفسي بيده لولا الجهاد في سبيل الله والحج وبر امي، لاحببت ان اموت وانا مملوك".
Hum se Bishr Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah Bin Mubarak ne khabar di, kaha hum ko Yunus ne khabar di, unhon ne Zuhri se suna, unhon ne kaha ke mein ne Saeed Bin Musayyib se suna, unhon ne kaha ke Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke un se Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Ghalam jo kisi ki milkiyat mein ho aur naiko kaar ho to ise do sawab milte hain." Aur Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne kaha, is zaat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai agar Allah Ta'ala ke raste mein jihad, hajj aur walda ki khidmat (ki rok) na hoti to mein pasand karta ke ghalam reh kar maroon
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2549
حدثنا إسحاق بن نصر، حدثنا ابو اسامة، عن الاعمش، حدثنا ابو صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" نعما لاحدهم يحسن عبادة ربه وينصح لسيده".
Hum se Ishaq Bin Nasr ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, unhon ne Aamash se, un se Abu Salih ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Kitna accha hai kisi ka wo ghalam jo apne rabb ki ibadat tamam husn-o-khoobi ke sath baja laye aur apne malik ki khair khwahi bhi karta rahe."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2550
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن عبيد الله، حدثني نافع، عن عبد الله رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا نصح العبد سيده واحسن عبادة ربه، كان له اجره مرتين".
Hum se Musaddad Bin Musarhad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya Qattan ne bayan kiya, un se Ubaidullah ne, un se Nafi ne kaha aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jab ghalam apne aaqa ki khair khwahi kare aur apne rabb ki ibadat tamam husn-o-khoobi ke sath baja laye to ise dugna sawab milta hai."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة