الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب العتق
Kitab: Ghulamon ki azadi ke bayan mein
باب إذا أسر أخو الرجل أو عمه هل يفادى إذا كان مشركا:
Bab: Agar kisi muslim ka mushrik bhai ya chacha qaid ho kar aaye to kya (un ko chhurane ke liye) is ki taraf se fidya diya ja sakta hai?
Hadith Number: 2537
حدثنا إسماعيل بن عبد الله، حدثنا إسماعيل بن إبراهيم بن عقبة، عن موسى بن عقبة، عن ابن شهاب، قال: حدثني انس رضي الله عنه،" ان رجالا من الانصار استاذنوا رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقالوا: ائذن لنا، فلنترك لابن اختنا عباس فداءه، فقال: لا تدعون منه درهما".
Hum se Ismail Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Ismail Bin Ibrahim Bin Uqbah ne bayan kiya, un se Musa ne, un se Ibn Shihab ne aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Ansar ke baaz logon ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se mulaqat ki aur ijazat chahi aur aa kar arz kiya ke Aap hamein is ki ijazat de dijiye ke hum apne bhanje Abbas ka fidya maaf kar dein Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke nahi ek dirham bhi na choro
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3048
حدثنا إسماعيل بن ابي اويس، حدثنا إسماعيل بن إبراهيم بن عقبة، عن موسى بن عقبة، عن ابن شهاب، قال: حدثني انس بن مالك رضي الله عنه، ان رجالا من الانصار استاذنوا رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقالوا: يا رسول الله؟ ائذن فلنترك لابن اختنا عباس فداءه، فقال:" لا تدعون منها درهما".
Hum se Ismail Bin Abi Uwais ne bayan kiya, kaha hum se Ismail Bin Ibrahim Bin Uqba ne bayan kiya, un se Musa Bin Uqba ne, un se Ibn Shihab ne bayan kiya aur un se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Ansar ke baaz logon ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ijazat chahi aur arz kiya: Ya Rasul Allah! Aap humein is ki ijazat de dein ke hum apne bhanje Abbas Bin Abdul Muttalib ka fidya maaf kar dein, lekin Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya un ke fidye mein se ek dirham bhi na chhodo
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3049
وقال: إبراهيم بن طهمان، عن عبد العزيز بن صهيب، عن انس، قال اتي النبي صلى الله عليه وسلم بمال من البحرين فجاءه العباس، فقال: يا رسول الله اعطني فإني فاديت نفسي وفاديت عقيلا، فقال:" خذ فاعطاه في ثوبه".
Aur Ibrahim Bin Tahman ne bayan kiya, un se Abdul Aziz Bin Suhaib ne aur un se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein Bahrain ka khiraj aya to Abbas (Radi Allahu Anhu) khidmat-e-Nabwi mein hazir hue aur arz kiya: Ya Rasul Allah! Is mal se mujhe bhi dijiye kyunke (Badr ke mauqa par) mein ne apna aur Aqeel dono ka fidya ada kiya tha. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Phir aap le lein" chunanche Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne unhein un ke kapde mein naqdi ko bandhwa diya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4018
حدثني إبراهيم بن المنذر، حدثنا محمد بن فليح، عن موسى بن عقبة، قال ابن شهاب: حدثنا انس بن مالك، ان رجالا من الانصار استاذنوا رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقالوا: ائذن لنا فلنترك لابن اختنا عباس فداءه، قال:" والله لا تذرون منه درهما".
Mujh se Ibrahim Bin-ul-Munzir ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad Bin Falih ne bayan kiya, un se Musa Bin Uqba ke hum se Ibn Shihab ne bayan kiya aur un se Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Ansar ke chand logon ne Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se ijazat chahi aur arz kiya ke aap humein ijazat ata farmayein to hum apne bhanje Abbas Radi Allahu Anhu ka fidiya maaf kar dein lekin Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ”Allah ki qasam! In ke fidiya se ek dirham bhi na chorna.“
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة