الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الرهن
Kitab: Rahn ke bayan mein
باب الرهن مركوب ومحلوب:
Bab: Girwi janwar par sawari karna is ka doodh peena durust hai.
Show diacritics
Hadith Number: 2512
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا زكرياء، عن الشعبي، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الرهن يركب بنفقته إذا كان مرهونا، ولبن الدر يشرب بنفقته إذا كان مرهونا، وعلى الذي يركب ويشرب النفقة".
Hum se Muhammad Bin Muqatil ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah Bin Mubarak ne khabar di, unhein Zakariya ne khabar di, unhein Shabi ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, girwi janwar par us ke kharch के badal sawari ki jaye. Isi tarah doodh wale janwar ka jab wo girwi ho to kharch ke badal is ka doodh piya jaye aur jo koi sawari kare ya doodh piye wahi is ka kharch uthaye
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2511
حدثنا ابو نعيم، حدثنا زكرياء، عن عامر، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، انه كان يقول:"الرهن يركب بنفقته، ويشرب لبن الدر إذا كان مرهونا".
Hum se Abu Nuaim ne bayan kiya, kaha ke hum se Zakariya Bin Abi Zaida ne bayan kiya, un se Aamir Shabi ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya girwi janwar par is ka kharch nikalne ke liye sawari ki jaye, doodh wala janwar girwi ho to is ka doodh piya jaye
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة