الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الرَّهْنِ
The Book of Mortgaging In Places Occupied by Settled Population
بَابُ الرَّهْنُ مَرْكُوبٌ وَمَحْلُوبٌ:
Chapter. It is permissible to mortgage an animal used for riding or milking.
Hadith Number: Q2511
وقال مغيرة: عن إبراهيم تركب الضالة بقدر علفها وتحلب بقدر علفها، والرهن مثله.
Aur Mughira ne bayan kiya aur un se Ibrahim Nakh'i ne ke gum hone wale janwar par (agar wo kisi ko mil jaye to) is par chara dene ke badle sawari ki jaye (agar wo sawari ka janwar hai) aur (chare ke mutabiq) is ka doodh bhi doha jaye (agar wo doodh dene ke qabil hai) aise hi girwi janwar par bhi
.
.
Hadith Number: 2511
حدثنا ابو نعيم، حدثنا زكرياء، عن عامر، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، انه كان يقول:"الرهن يركب بنفقته، ويشرب لبن الدر إذا كان مرهونا".
Hum se Abu Nuaim ne bayan kiya, kaha ke hum se Zakariya Bin Abi Zaida ne bayan kiya, un se Aamir Shabi ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya girwi janwar par is ka kharch nikalne ke liye sawari ki jaye, doodh wala janwar girwi ho to is ka doodh piya jaye
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2512
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا زكرياء، عن الشعبي، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الرهن يركب بنفقته إذا كان مرهونا، ولبن الدر يشرب بنفقته إذا كان مرهونا، وعلى الذي يركب ويشرب النفقة".
Hum se Muhammad Bin Muqatil ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah Bin Mubarak ne khabar di, unhein Zakariya ne khabar di, unhein Shabi ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, girwi janwar par us ke kharch के badal sawari ki jaye. Isi tarah doodh wale janwar ka jab wo girwi ho to kharch ke badal is ka doodh piya jaye aur jo koi sawari kare ya doodh piye wahi is ka kharch uthaye
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة