الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الغسل
Kitab: Ghusl ke ahkam o masail
باب الغسل بالصاع ونحوه:
Bab: Is bare mein ke ek saa’ ya isi tarah kisi cheez ke wazan bhar pani se ghusl karna chahiye.
Show diacritics
Hadith Number: 251
حدثنا عبد الله بن محمد، قال: حدثني عبد الصمد، قال: حدثني شعبة، قال: حدثني ابو بكر بن حفص، قال: سمعت ابا سلمة، يقول: دخلت انا واخو عائشة على عائشة، فسالها اخوها عن غسل النبي صلى الله عليه وسلم؟" فدعت بإناء نحوا من صاع، فاغتسلت وافاضت على راسها وبيننا وبينها حجاب"، قال ابو عبد الله: قال يزيد بن هارون، وبهز، والجدي، عن شعبة: قدر صاع.
Hum se Abdullah bin Muhammed ne Hadees bayan ki, unhon ne kaha ke hum se Abdus Samad ne, unhon ne kaha hum se Sho’bah ne, unhon ne kaha hum se Abu Bakr bin Hafs ne, unhon ne kaha ke main ne Abu Salamah se yeh Hadees suni ke main (Abu Salamah) aur Aisha Radhiallahu Anha ke bhai Aisha Radhiallahu Anha ki khidmat mein gaye. Un ke bhai ne Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke ghusl ke baare mein sawaal kiya. To Aap ne Saa’ jaisa ek bartan mangwaaya. Phir ghusl kiya aur apne upar paani bahaaya. Us waqt hamaare darmiyaan aur un ke darmiyaan pardah haayil tha. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) kehte hain ke Yazeed bin Haroon, Bahz aur Juddi ne Sho’bah se qadr Saa’ ke alfaaz riwayat kiye hain. (Note: Saa’ ke andar 2.488 Kilogram hota hai.)


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 201
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا مسعر، قال: حدثني ابن جبر، قال: سمعت انسا، يقول:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يغسل او كان يغتسل بالصاع إلى خمسة امداد ويتوضا بالمد".
Hum se Abu Nu’aim ne bayan kiya, kaha hum se Mis’ar ne, kaha mujh se Ibn-e-Jabr ne, unhon ne Anas Radhiallahu Anhu ko yeh farmaate huwe suna ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam jab dhote ya (yeh kaha ke) jab nahaate to ek Saa’ se le kar paanch Mudd tak (paani iste’maal farmaate the) aur jab Wuzu farmaate to ek Mudd (paani) se.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 258
حدثنا محمد بن المثنى، قال: حدثنا ابو عاصم، عن حنظلة، عن القاسم، عن عائشة، قالت:" كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا اغتسل من الجنابة دعا بشيء نحو الحلاب، فاخذ بكفه فبدا بشق راسه الايمن، ثم الايسر، فقال: بهما على وسط راسه".
Muhammed bin Musanna ne hum se bayan kiya, kaha ke hum se Abu ’Aasim (Zahhak bin Makhlad) ne bayan kiya, woh Hanzalah bin Abi Sufyan se, woh Qasim bin Muhammed se, woh Aisha Radhiallahu Anha se. Aap ne farmaaya ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam jab ghusl-e-janabat karna chaahte to Hilaab ki tarah ek cheez mangaate. Phir (paani ka chullu) apne haath mein lete aur sar ke daahne hisse se ghusl ki ibtida karte. Phir baayein hisse ka ghusl karte. Phir apne dono haathon ko sar ke beech mein lagaate the.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة