الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
کتاب المظالم والغصب
Kitab: Zulm aur maal ghasab karne ke bayan mein
باب هل تكسر الدنان التى فيها الخمر أو تخرق الزقاق:
Bab: Kya koi aisa matka tora ja sakta hai ya aisi mashk phari ja sakti hai jis mein sharab maujood ho?
Hadith Number: 2478
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا ابن ابي نجيح، عن مجاهد، عن ابي معمر، عن عبد الله بن مسعود رضي الله عنه، قال:" دخل النبي صلى الله عليه وسلم مكة وحول الكعبة ثلاث مائة وستون نصبا، فجعل يطعنها بعود في يده، وجعل يقول: جاء الحق وزهق الباطل سورة الإسراء آية 81" الآية.
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn Abi Najih ne bayan kiya, un se Mujahid ne bayan kiya, un se Abu Maamar ne bayan kiya, aur un se Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) (Fatah Makkah din jab) Makkah mein dakhil hue to Khana Kaabah ke charon taraf teen so sath but thay. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke hath mein ek chari thi jis se Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) in buton par marne lage aur farmane lage ke "Jaa-al-Haqqu wa zahaqal-batilu" "Haq aa gaya aur baatil mit gaya"
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4287
حدثنا صدقة بن الفضل، اخبرنا ابن عيينة، عن ابن ابي نجيح، عن مجاهد، عن ابي معمر، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: دخل النبي صلى الله عليه وسلم مكة يوم الفتح، وحول البيت ستون وثلاث مائة نصب، فجعل يطعنها بعود في يده، ويقول:" جاء الحق وزهق الباطل، جاء الحق وما يبدئ الباطل وما يعيد".
Hum se Sadaqah bin Fadl ne byaan kiya ‘ kaha hum ko Sulayman bin Uyaynah ne khabar di ‘ unhein Ibn Abi Najih ne ‘ unhein Mujahid ne ‘ unhein Abu Mamar ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Fatah Makkah ke din jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Makkah mein dakhil huay to Bayt Allah ke charon taraf teen sau saath but thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ek chhari se jo dast e mubarak mein thi ‘ maarte jate thay aur is aayat ki tilawat karte jate «jaa'al haqqu wa zahaqal baatilu , jaa'al haqqu , wa ma yubdi'ul baatilu wa ma yua'eed» ke ”haq qaim ho gaya aur baatil maghloob ho gaya ‘ haq qaim ho gaya aur baatil se na shuru mein kuch ho saka hai na aainda kuch ho sakta hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4720
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، عن ابن ابي نجيح، عن مجاهد، عن ابي معمر، عن عبد الله بن مسعود رضي الله عنه، قال: دخل النبي صلى الله عليه وسلم مكة وحول البيت ستون وثلاث مائة نصب، فجعل يطعنها بعود في يده، ويقول:" جاء الحق وزهق الباطل إن الباطل كان زهوقا جاء الحق وما يبدئ الباطل وما يعيد".
Hum se Abdullah bin Zubayr Humaydi ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , un se Abdullah Ibn Abi Najih ne , un se Mujahid ne , un se Abu Mamar ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab Makkah mein (fatah ke baad) dakhil huay to Kaaba ke charon taraf teen sau saath but thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apne hath ki lakri se ek ko takrate jate aur parhte jate «jaa'al haqqu wa zhahaqal baatilu innal baatila kaana zhahooqan» , «jaa'al haqqu wa ma yubdi'ul baatilu wa ma yueedu» haq aaya aur jhoot nabood hua beshak jhoot nabood hone wala hi tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة