الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
کتاب المظالم والغصب
Kitab: Zulm aur maal ghasab karne ke bayan mein
باب من أخذ الغصن وما يؤذي الناس فى الطريق فرمى به:
Bab: Is ka sawab jis ne shaakh ya koi aur takleef dene wali cheez raste se hatayi.
Show diacritics
Hadith Number: 2472
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن سمي، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" بينما رجل يمشي بطريق، وجد غصن شوك على الطريق فاخذه، فشكر الله له فغفر له".
Hum se Abdullah Bin Yusuf Tanisi ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Sumi ne, unhein Abu Salih ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, ek shaks raste par chal raha tha ke us ne wahan kante dar dali dekhi. Us ne use utha liya to Allah Ta'ala ne us ka ye amal qabool kiya aur us ki maghfirat kar di
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 652
حدثنا قتيبة، عن مالك، عن سمي مولى ابي بكر، عن ابي صالح السمان، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" بينما رجل يمشي بطريق وجد غصن شوك على الطريق، فاخره فشكر الله له فغفر له.
Hum se Qutaybah bin Saeed ne Imam Malik se byaan kiya , unhon ne Abu Bakr bin Abdur Rahman ke ghulam Sami name se , unhon ne Abu Saleh Saman se , unhon ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ek shakhs kahin ja raha tha . Raaste mein us ne kaanton ki bhari hui ek tehni dekhi , pas usay raaste se door kar diya . Allah Taala (sirf isi baat par) raazi ho gaya aur us ki bakhshish kar di .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 654
ولو يعلمون ما في التهجير لاستبقوا إليه، ولو يعلمون ما في العتمة والصبح لاتوهما ولو حبوا".
Aur agar logon ko yeh maloom ho jaye ke Zuhr ki namaaz ke liye sawere jane mein kya sawab hai to us ke liye ek doosre par sabqat le jane ki koshish karen aur agar yeh jaan jayen ke Isha aur subah ki namaaz ke fazail kitne hain , to ghatnon ke bal ghasitte huay un ke liye ayen .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة