الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
کتاب المظالم والغصب
Kitab: Zulm aur maal ghasab karne ke bayan mein
باب لا يظلم المسلم المسلم ولا يسلمه:
Bab: Koi muslim kisi muslim par zulm na kare aur na kisi zalim ko is par zulm karne de.
Hadith Number: 2442
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، ان سالما اخبره، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما اخبره، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" المسلم اخو المسلم لا يظلمه ولا يسلمه، ومن كان في حاجة اخيه كان الله في حاجته، ومن فرج عن مسلم كربة فرج الله عنه كربة من كربات يوم القيامة، ومن ستر مسلما ستره الله يوم القيامة".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha ke hum se Laith ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, unhein Salim ne khabar di, aur unhein Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne farmaya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ek Musalman doosre Musalman ka bhai hai, pas us par zulm na kare aur na zulm hone day. Jo shakhs apne bhai ki zaroorat poori kare, Allah Ta'ala is ki zaroorat poori karega. Jo shakhs kisi Musalman ki ek musibat ko door kare, Allah Ta'ala is ki Qiyamat ki musibaton mein se ek badi musibat ko door farmaye ga. Aur jo shakhs kisi Musalman ke aib ko chhupaye Allah Ta'ala Qiyamat mein is ke aib chhupaye ga
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6951
حدثنا يحيى بن بكير حدثنا الليث عن عقيل عن ابن شهاب ان سالما اخبره ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما اخبره ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: «المسلم اخو المسلم، لا يظلمه، ولا يسلمه، ومن كان في حاجة اخيه، كان الله في حاجته» .
`Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, unhein Salim ne khabar di aur unhein Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne khabar di ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Musalman musalman ka bhai hai na us par zulm kare aur na ise (kisi zalim ke) supard kare aur jo shakhs apne kisi bhai ki zaroorat poori karne mein laga ho ga Allah Ta'ala is ki zaroorat aur haajat poori kare ga.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة