الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب اللقطة
Kitab: Luqta yani giri pari cheezon ke baare mein ahkam
باب كيف تعرف لقطة أهل مكة:
Bab: Ahl-e-Makkah ke luqata ka kya hukm hai?
Show diacritics
Hadith Number: 2433
وقال احمد بن سعيد: حدثنا روح، حدثنا زكرياء، حدثنا عمرو بن دينار، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يعضد عضاهها، ولا ينفر صيدها، ولا تحل لقطتها إلا لمنشد، ولا يختلى خلاها، فقال عباس: يا رسول الله، إلا الإذخر؟ فقال: إلا الإذخر" ‏‏.‏
Aur Ahmad Bin Saad ne kaha, un se Rauh ne bayan kiya, un se Zakariya ne bayan kiya, un se Amr Bin Dinar ne bayan kiya, un se Ikrimah ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, Makkah ke darakht na kaate jayein, wahan ke shikar na chhairhe jayein, aur wahan ke luqtah ko sirf wahi uthaye jo elan kare, aur is ki ghas na kaati jaye. Abbas (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke Ya Rasul Allah! idhkhir ki ijazat day dijiyi-ay chunanche Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne idhkhir ki ijazat day di
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1349
حدثنا محمد بن عبد الله بن حوشب، حدثنا عبد الوهاب، حدثنا خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" حرم الله مكة فلم تحل لاحد قبلي ولا لاحد بعدي، احلت لي ساعة من نهار لا يختلى خلاها، ولا يعضد شجرها، ولا ينفر صيدها، ولا تلتقط لقطتها إلا لمعرف"، فقال العباس رضي الله عنه: إلا الإذخر لصاغتنا وقبورنا؟، فقال: إلا الإذخر، وقال ابو هريرة رضي الله عنه: عن النبي صلى الله عليه وسلم: لقبورنا وبيوتنا، وقال ابان بن صالح: عن الحسن بن مسلم، عن صفية بنت شيبة، سمعت النبي صلى الله عليه وسلم مثله، وقال مجاهد: عن طاوس، عن ابن عباس رضي الله عنهما لقينهم وبيوتهم.
Hum se Muhammad bin Abdullah bin Haushab ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abdul Wahhab ne byaan kiya . Kaha hum se Khalid Hazza ne ‘ un se Ikrima ne ‘ un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ne Makkah ko haram kiya hai . Na mujh se pehle kisi ke liye (yahan qatl o khoon) halal tha aur na mere baad ho ga aur mere liye bhi thori der ke liye (Fatah Makkah ke din) halal hua tha . Pas na is ki ghaas ukhaari jaye na is ke darakht qalam kiye jayein . Na yahan ke jaanwaroon ko (shikaar ke liye) bhagaya jaye aur siwa is shakhs ke jo elaan karna chahta ho (ke yeh giri hui cheez kis ki hai) kisi ke liye wahan se koi giri hui cheez uthani jaiz nahin . Is par Abbas razi Allahu anhu ne kaha ”lekin is se Idhkhir ka istishna kar dijiye ke yeh hamare sunaroon ke aur hamari qabroon mein kaam aati hai .“ Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke magar Idhkhir ki ijazat hai . Abu Hurairah razi Allahu anhu ki Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat mein hai . ”Hamari qabroon aur gharon ke liye .“ Aur Aban bin Salih ne byaan kiya ‘ un se Hasan bin Muslim ne ‘ un se Safiya bint Shaybah ne ke unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se isi tarah suna tha . Aur Mujahid ne Tawoos ke wasta se byaan kiya aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne yeh alfaz byaan kiye . Hamare Qayn (loharoon) aur gharon ke liye (Idhkhir ukharna haram se) jaiz kar dijiye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة