الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المزارعة
Kitab: Kheti bari aur batai ka bayan
باب ما كان من أصحاب النبى صلى الله عليه وسلم يواسي بعضهم بعضا فى الزراعة والثمرة:
Bab: Nabi Karim Sallallahu Alaihi Wasallam ke Sahaba Kiram kheti baari mein ek doosre ki madad kis tarah karte the.
Show diacritics
Hadith Number: 2340
حدثنا عبيد الله بن موسى، اخبرنا الاوزاعي، عن عطاء، عن جابر رضي الله عنه، قال: كانوا يزرعونها بالثلث والربع والنصف، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" من كانت له ارض فليزرعها او ليمنحها، فإن لم يفعل فليمسك ارضه".
Hum se Ubaidullah Bin Musa ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum ko Imam Awzai ne khabar di, aur un se Jabir (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Sahaba tihayi, chauthayi ya nisf par batayi ka muamla kiya karte thay. Phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jis ke paas zameen ho to ise khud boye warna doosron ko bakhsh day. Agar ye bhi nahi kar sakta to ise yun hi khali chhor day
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2632
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا الاوزاعي، قال: حدثني عطاء، عن جابر رضي الله عنه، قال:" كانت لرجال منا فضول ارضين، فقالوا: نؤاجرها بالثلث والربع والنصف، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: من كانت له ارض فليزرعها او ليمنحها اخاه، فإن ابى فليمسك ارضه".
Hum se Muhammad Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum se Awza'i ne bayan kiya, kaha ke mujh se Ata ne bayan kiya, un se Jabir (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke hum mein se bahut se ashaab ke paas faltu zameen bhi thi, unhon ne kaha tha ke tihayi ya chauthayi ya nisf ki batai par hum kyun na ise de diya karein. Is par Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jis ke paas zameen ho to ise khud boni chahiye ya phir kisi apne bhai ko hadiya kar deni chahiye aur agar aisa nahi karta to phir zameen apne paas rakkhe rahe."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة