الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المزارعة
Kitab: Kheti bari aur batai ka bayan
باب قطع الشجر والنخل:
Bab: Meva daar darakht aur khajoor ke darakht kaatna.
Show diacritics
Hadith Number: 2326
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا جويرية، عن نافع، عن عبد الله رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم،" انه حرق نخل بني النضير، وقطع وهي البويرة"، ولها يقول حسان: وهان على سراة بني لؤي حريق بالبويرة مستطير.
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, ke hum se Juwairiyah ne bayan kiya, un se Nafi ne, aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Bani Nadheer ke khajooron ke bagh jala diye aur kaat diye. In hi ke baghat ka naam Buairah tha. Aur Hassan (Radi Allahu Anhu) ka ye sher isi ke mutalliq hai. Bani Luwayi (Quraish) ke sardaron par (ghalba ko) Buairah ki aag ne aasan bana diya jo har taraf phailti hi ja rahi thi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3021
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، عن موسى بن عقبة، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" حرق النبي صلى الله عليه وسلم نخل بني النضير".
Hum se Muhammad Bin Kaseer ne bayan kiya ‘ kaha hum ko Sufyan Bin Uyainah ne khabar di ‘ unhein Musa Bin Uqba ne ‘ unhein Nafi ne aur un se Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (yahud) Banu Nazeer ke khajoor ke baghat jalwa diye thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3031
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا سفيان، عن عمرو بن دينار، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من لكعب بن الاشرف فإنه قد آذى الله ورسوله، قال: محمد بن مسلمة اتحب ان اقتله يا رسول الله، قال: نعم، قال: فاتاه، فقال: إن هذا يعني النبي صلى الله عليه وسلم قد عنانا وسالنا الصدقة، قال: وايضا والله لتملنه، قال: فإنا قد اتبعناه فنكره ان ندعه حتى ننظر إلى ما يصير امره، قال: فلم يزل يكلمه حتى استمكن منه فقتله".
Hum se Qutaiba Bin Saeed ne bayan kiya ‘ kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne ‘ in se Amr Bin Dinar ne aur in se Jabir Bin Abdullah (Radi Allahu Anhuma) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Kaab Bin Ashraf ka kaam kaun tamam kare ga? Wo Allah aur us ke Rasul ko bahut aziyatein pahuncha chuka hai." Muhammad Bin Muslima (Radi Allahu Anhu) ne arz kiya: ya Rasul Allah! Kya Aap mujhe ijazat bakhsh dein ge ke mein ise qatl kar aaun? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Haan." Rawi ne bayan kiya ke phir Muhammad Bin Muslima Kaab yahudi ke paas aaye aur us se kehne lage ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne to humein thaka diya ‘ aur hum se Aap zakat mangte hain. Kaab ne kaha ke qasam Allah ki! Abhi kya hai abhi aur museebat mein paro ge. Muhammad Bin Muslima (Radi Allahu Anhu) is par kehne lage ke baat ye hai ke hum ne in ki pairwi kar li hai. Is liye is waqt tak is ka sath chorna hum munasib bhi nahi samajhte jab tak in ki dawat ka koi anjam hamare samne na aa jaye. Gharaz Muhammad Bin Muslima (Radi Allahu Anhu) is se isi tarah batein karte rahe. Aakhir mauqa pa kar ise qatl kar diya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4031
حدثنا آدم، حدثنا الليث، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" حرق رسول الله صلى الله عليه وسلم نخل بني النضير وقطع وهي البويرة، فنزلت: ما قطعتم من لينة او تركتموها قائمة على اصولها فبإذن الله سورة الحشر آية 5".
Hum se Adam ne bayan kiya, kaha hum se Laith ne bayan kiya, un se Nafi ne aur un se Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Bani Nazir ke khajooron ke baghat jalwa diye thay aur un ke darakhton ko katva diya tha. Ye baghat maqam-e-Buwairah mein thay is par ye ayat nazil hui «ma qata'tum min linatin au taraktumuha qaimatan ala usuliha fabi'iznillah» ”Jo darakht tum ne kaat diye hain ya jinhein tum ne chor diya hai ke wo apne jaron par kharay rahein to ye Allah ke hukm se hua hai“
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4032
حدثني إسحاق، اخبرنا حبان، اخبرنا جويرية بن اسماء، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما: ان النبي صلى الله عليه وسلم حرق نخل بني النضير، قال:" ولها يقول حسان بن ثابت: وهان على سراة بني لؤي حريق بالبويرة مستطير قال: فاجابه ابو سفيان بن الحارث ادام الله ذلك من صنيع وحرق في نواحيها السعير ستعلم اينا منها بنزه وتعلم اي ارضينا تضير.
Hum se Ishaq ne bayan kiya, kaha hum ko Habban ne khabar di, unhein Juwairiya Bin Asma ne, unhein Nafi ne, unhein Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Banu Nazir ke baghat jalwa diye thay. Unhon ne kaha ke Hassan Bin Sabit Radi Allahu Anhu ne isi ke mutaliq ye sher kaha tha (tarjuma) ”Banu Luai (Quraish) ke sardaron ne bari aasani ke sath bardasht kar liya. Maqam-e-Buwairah mein is aag ko jo phail rahi thi.“ Bayan kiya ke phir is ka jawab Abu Sufyan Bin Harith ne in ashaar mein diya. ”Khuda kare ke Madina mein hamesha yun hi aag lagti rahe aur is ke atraf mein yun hi sholay uthte rahein. Tumhein jald hi maloom ho jaye ga ke hum mein se kaun is maqam-e-Buwairah se door hai aur tumhein maloom ho jaye ga ke kis ki zameen ko nuqsan pahunchta hai“
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4884
حدثنا قتيبة، حدثنا ليث، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم حرق نخل بني النضير، وقطع وهي البويرة، فانزل الله تعالى ما قطعتم من لينة او تركتموها قائمة على اصولها فبإذن الله وليخزي الفاسقين سورة الحشر آية 5".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya, kaha hum se Layth bin Saad ne byaan kiya, un se Nafi ne aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Banu Nadheer ke khajooron ke darakht jala diye thay aur unhein kaat dala tha. Yeh darakht Maqam e Buwayra mein thay phir is ke mutalliq Allah Ta'ala ne aayat nazil ki «ma qata'tum min leenatin au taraktumooha qaa'imatan ala usooliha fa-bi-izhnillahi wa liyukhzhiyal faasiqeena» ke ”jo khajooron ke darakht tum ne kaate ya unhein un ki jaroon par qaim rehne diya so yeh donon Allah hi ke hukm ke muwafiq hain aur taake nafarmanon ko zaleel kare.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة