الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوكالة
Kitab: Wakalat ke masail ka bayan
باب الوكالة فى الوقف ونفقته، وأن يطعم صديقا له ويأكل بالمعروف:
Bab: Waqf ke maal mein wakalat aur wakeel ka kharcha aur wakeel ka apne dost ko khilana aur khud bhi dastur ke mutabiq khana.
Show diacritics
Hadith Number: 2313
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا سفيان، عن عمرو، قال في صدقة عمر رضي الله عنه:" ليس على الولي جناح ان ياكل، ويؤكل صديقا له غير متاثل مالا"، فكان ابن عمر هو يلي صدقة عمر، يهدي لناس من اهل مكة، كان ينزل عليهم.
Hum se Qutaiba Bin Saeed ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya, un se Amr Bin Dinar ne, unhon ne kaha ke Umar (Radi Allahu Anhu) ne sadaqah ke baab mein jo kitab likhwayi thi is mein yun hai ke sadaqe ka mutawalli is mein se kha sakta hai aur dost ko khila sakta hai lekin rupiyah na jama kare aur Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) apne walid Umar (Radi Allahu Anhu) ke sadaqe ke mutawalli thay. Wo Makkah walon ko is mein se tohfa bhejte thay jahan Aap qayam farmaya karte thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2137
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن يونس، عن ابن شهاب، قال: اخبرني سالم بن عبد الله، ان ابن عمر رضي الله عنه، قال:" لقد رايت الناس في عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم يبتاعون جزافا يعني الطعام، يضربون ان يبيعوه في مكانهم، حتى يؤووه إلى رحالهم".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Laith ne bayan kiya, un se Yunus ne, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, ke mujhe Salim Bin Abdullah (Radi Allahu Anhu) ne khabar di, un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke ahd-e-mubarak mein dekha ke logon ko is par tanbeeh ki jati jab wo ghalla ka dhair khareed kar ke apne thikane par lane se pehle hi us ko bech daalte. Yaani ghalla to is baat par unhein saza di jati ke wo us ko apne thikane par lane se pehle us ko bech daalte
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2764
حدثنا هارون بن الاشعث، حدثنا ابو سعيد مولى بني هاشم، حدثنا صخر بن جويرية، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، ان عمر تصدق بمال له على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم، وكان يقال له: ثمغ، وكان نخلا، فقال: عمر يا رسول الله، إني استفدت مالا وهو عندي نفيس فاردت ان اتصدق به، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" تصدق باصله لا يباع، ولا يوهب، ولا يورث، ولكن ينفق ثمره"، فتصدق به عمر، فصدقته ذلك في سبيل الله وفي الرقاب، والمساكين، والضيف، وابن السبيل، ولذي القربى، ولا جناح على من وليه ان ياكل منه بالمعروف، او يوكل صديقه غير متمول به.
Hum se Haroon Bin Ash'as ne bayan kiya ' kaha ke hum se Banu Hashim ke ghulam Abu Saeed ne bayan kiya ' un se Sakhr Bin Juwairiyah ne bayan kiya Nafi se aur un se Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Umar (Radi Allahu Anhu) ne apni ek jaidad Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke zamana mein waqf kar di ' is jaidad ka naam Samgh tha aur ye ek khajoor ka ek bagh tha. Umar (Radi Allahu Anhu) ne arz kiya ya Rasul Allah! Mujhe ek jaidad mili hai aur mere khayal mein nihayat umdah hai ' is liye mein ne chaha ke ise sadqa kar doon to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke asal maal ko sadqa kar ke na becha ja sake na hiba kiya ja sake aur na us ka koi waris ban sake ' sirf us ka phal (Allah ki raah mein) sarf ho. Chunancha Umar (Radi Allahu Anhu) ne ise sadqa kar diya ' un ka ye sadqa ghaziyon ke liye ' ghulam azad karane ke liye, muhtajon aur kamzoron ke liye ' musafiron ke liye aur rishtedaron ke liye tha aur ye ke is ke nigran ke liye is mein koi mazaqa nahi hoga ke wo dastoor ke muwafiq is mein se khaye ya apne kisi dost ko khilaye bashart-e-ke is mein se maal jama karne ka irada na rakhta ho
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2772
حدثنا مسدد، حدثنا يزيد بن زريع، حدثنا ابن عون، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال: اصاب عمر بخيبر ارضا، فاتى النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" اصبت ارضا لم اصب مالا قط انفس منه، فكيف تامرني به، قال: إن شئت حبست اصلها، وتصدقت بها، فتصدق عمر انه لا يباع اصلها، ولا يوهب، ولا يورث في الفقراء، والقربى، والرقاب، وفي سبيل الله، والضيف، وابن السبيل، لا جناح على من وليها ان ياكل منها بالمعروف، او يطعم صديقا غير متمول فيه".
Hum se Musaddad Bin Musarhad ne bayan kiya ' kaha hum se Yazid Bin Zuray ne bayan kiya ' kaha hum se Abdullah Bin Awn (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya un se Nafi ne aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Umar (Radi Allahu Anhu) ko Khaibar mein ek zameen mili (jis ka naam Samgh tha) to aap Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hue aur arz kiya ke mujhe ek zameen mili hai aur is se umdah maal mujhe kabhi nahi mila tha ' aap is ke baare mein mujhe kya mashwarah dete hain? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke agar chahe to asal jaidad apne qabze mein rok rakh aur is ke manafa ko khairat kar de. Chunancha Umar (Radi Allahu Anhu) ne ise is shart ke sath sadqa (waqf) kiya ke asal zameen na bechi jaye, na hiba ki jaye aur na wirasat mein kisi ko mile aur fuqara, rishtedar, ghulam azad karane ' Allah ke raste (ke mujahidon) mehmanon aur musafiron ke liye (waqf hai) jo shakhs bhi is ka mutawalli ho agar dastoor ke mutabiq is mein se khaye ya apne kisi dost ko khilaye to koi mazaqa nahi bashart-e-ke maal jama karne ka irada na ho
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2773
حدثنا ابو عاصم، حدثنا ابن عون، عن نافع، عن ابن عمر، ان عمر رضي الله عنه، وجد مالا بخيبر، فاتى النبي صلى الله عليه وسلم فاخبره، قال:" إن شئت تصدقت بها، فتصدق بها في الفقراء والمساكين، وذي القربى، والضيف".
Hum se Abu Asim ne bayan kiya ' unhon ne kaha hum se Abdullah Bin Awn ne bayan kiya ' un se Nafi ne bayan kiya ' un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Umar (Radi Allahu Anhu) ko Khaibar mein ek jaidad mili to aap ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir ho kar is ke mutaliq khabar di. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke agar chaho to ise sadqa kar do. Chunancha aap ne fuqara ' masakeen ' rishtedaron aur mehmanon ke liye ise sadqa kar diya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2777
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا حماد، عن ايوب، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، ان عمر" اشترط في وقفه ان ياكل من وليه، ويؤكل صديقه غير متمول مالا".
Hum se Qutaibah Bin Saeed ne bayan kiya ' kaha hum se Hammad Bin Zaid ne bayan kiya ' un se Ayub Sakhtiyani ne ' un se Nafi ne aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Umar (Radi Allahu Anhu) ne apne waqf mein ye shart lagayi thi ke is ka mutawalli is mein se kha sakta hai aur apne dost ko khila sakta hai lekin wo daulat na jore
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة