الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الإجارة
Kitab: Ujrat ke masail ka bayan
باب الأجير فى الغزو:
Bab: Jihad mein kisi ko mazdoor kar ke le jana.
Show diacritics
Hadith Number: 2265
حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا إسماعيل بن علية، اخبرنا ابن جريج، قال: اخبرني عطاء، عن صفوان بن يعلى، عن يعلى بن امية رضي الله عنه، قال:" غزوت مع النبي صلى الله عليه وسلم جيش العسرة، فكان من اوثق اعمالي في نفسي، فكان لي اجير، فقاتل إنسانا فعض احدهما، إصبع صاحبه فانتزع إصبعه فاندر ثنيته فسقطت، فانطلق إلى النبي صلى الله عليه وسلم فاهدر ثنيته، وقال: افيدع إصبعه في فيك تقضمها، قال: احسبه قال: كما يقضم الفحل".
Hum se Yaqub Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha ke hum se Ismail Bin Aliyyah ne bayan kiya, kaha ke humein Ibn Jurayj ne khabar di, kaha ke mujhe Ata Bin Abi Rabah ne khabar di, unhein Safwan Bin Yaali ne, un ko Yaali Bin Umayyah (Radi Allahu Anhu) ne, unhon ne kaha ke mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath Jaish-ul-Usrah (Ghazwa-e-Tabook) mein gaya tha ye mere nazdeek mera sab se ziyada qabil-e-aitimad naik amal tha. Mere sath ek mazdoor bhi tha wo ek shakhs se jhagrah aur un mein se ek ne doosre muqable wale ki ungli chaba dali. Doosre ne jo apna hath zor se kheencha to us ke aage ke dant bhi sath hi kheencha chale aaye aur gir gaye. Is par wo shakhs apna muqadma lay kar Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir pahuncha. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne us ke dant (tootne ka) koi qisas nahi dilwaya. Balkay farmaya ke kya wo ungli tumhare munh mein chabane ke liye chhor deta. Rawi ne kaha ke mein khayal karta hoon ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne yun bhi farmaya. Jis tarah oont chaba liya karta hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1847
حدثنا ابو الوليد، حدثنا همام، حدثنا عطاء، قال: حدثني صفوان بن يعلى بن امية، عن ابيه، قال:" كنت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم، فاتاه رجل عليه جبة، فيه اثر صفرة، او نحوه، كان عمر، يقول لي: تحب إذا نزل عليه الوحي ان تراه؟ فنزل عليه، ثم سري عنه، فقال: اصنع في عمرتك ما تصنع في حجك.
Hum se Abu-al-Walid ne bayan kiya, kaha hum se Hammam ne bayan kiya hum se Ata ne bayan kiya, kaha mujh se Safwan Bin Yala ne bayan kiya, un se un ke walid ne ke mein Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath tha ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein ek shakhs jo jubba pehne hue tha hazir hua aur is par zardi ya isi tarah ki kisi khushboo ka nishan tha. Umar (Radi Allahu Anhu) mujh se kaha karte thay kya tum chahte ho ke jab Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) par wahy nazil hone lage to tum Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko dekh sako ? Is waqt aap par wahy nazil hui phir wo halat jati rahi. Phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jis tarah apne Hajj mein karte ho isi tarah Umrah mein bhi karo
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة