الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الإجارة
Kitab: Ujrat ke masail ka bayan
باب استئجار الرجل الصالح:
Bab: Kisi bhi nek mard ko mazdoori par lagana.
Show diacritics
Hadith Number: 2260
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن ابي بردة، قال: اخبرني جدي ابو بردة، عن ابيه ابي موسى الاشعري رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" الخازن الامين الذي يؤدي ما امر به طيبة نفسه احد المتصدقين".
Hum se Muhammad Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya, un se Abu Burdah Yazid Bin Abdullah ne kaha ke mere dada, Abu Burdah Aamir ne mujhe khabar di aur unhein un ke baap Abu Musa Ashari (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, amanat-dar khazanchi jo is ko hukum diya jaye, us ke mutalliq dil ki farakhi ke sath (sadaqah ada kar day) wo bhi ek sadaqah karne walon hi mein se hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1438
حدثنا محمد بن العلاء، حدثنا ابو اسامة، عن بريد بن عبد الله، عن ابي بردة، عن ابي موسى، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" الخازن المسلم الامين الذي ينفذ، وربما قال: يعطي ما امر به كاملا موفرا طيب به نفسه فيدفعه إلى الذي امر له به احد المتصدقين".
Hum se Muhammad bin Alaa ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abu Usama ne byaan kiya ‘ un se Bureid bin Abdullah ne ‘ un se Abu Burdah ne aur un se Abu Musa razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya «khazin» musalman amanatdar jo kuch bhi kharch karta hai aur baaz dafa farmaya woh cheez poori tarah deta hai jis ka usay sarmaya ke maalik ki taraf se hukm diya gaya aur us ka dil bhi is se khush hai aur isi ko diya hai jisay dene ke liye maalik ne kaha tha to woh dene wala bhi sadqa dene walon mein se ek hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2319
حدثنا محمد بن العلاء، حدثنا ابو اسامة، عن بريد بن عبد الله، عن ابي بردة، عن ابي موسى رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" الخازن الامين الذي ينفق، وربما قال: الذي يعطي ما امر به كاملا موفرا طيبا نفسه إلى الذي امر به احد المتصدقين".
Hum se Muhammad Bin Alaa ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Abu Usama ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Buraid Bin Abdullah ne, unhon ne kaha ke hum se Abu Burdah ne bayan kiya aur un se Abu Musa Ashari (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, amanat-dar khazanchi jo kharch karta hai. Baaz dafa ye farmaya ke jo deta hai hukum ke mutabiq kamil aur poori tarah jis cheez (ke dene) ka ise hukum ho aur ise dete waqt is ka dil bhi khush ho, to wo bhi sadaqah karne walon mein se ek hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة