الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الشفعة
Kitab: Shufa ke bayan mein
باب أى الجوار أقرب:
Bab: Kon parosi zyada haqdaar hai.
Hadith Number: 2259
حدثنا حجاج. ح وحدثني علي بن عبد الله، حدثنا شبابة، حدثنا شعبة، حدثنا ابو عمران، قال: سمعت طلحة بن عبد الله، عن عائشة رضي الله عنها، قلت: يا رسول الله، إن لي جارين فإلى ايهما اهدي؟ قال: إلى اقربهما منك بابا".
Hum se Hajjaj Bin Minhal ne bayan kiya, kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya (doosri sanad) aur mujh se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, un se Shababa ne bayan kiya, un se Shuba ne bayan kiya, un se Abu Imran ne bayan kiya, kaha ke mein ne Talha Bin Abdullah se suna, aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke mein ne poocha Ya Rasul Allah! mere do parosi hain, mein in donon mein se kis ke paas hadiyah bhejoon ? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jis ka darwaza tujh se ziyada qareeb ho
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2595
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا محمد بن جعفر، حدثنا شعبة، عن ابي عمران الجوني، عن طلحة بن عبد الله رجل من بني تيم بن مرة، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: قلت: يا رسول الله، إن لي جارين، فإلى ايهما اهدي؟ قال:" إلى اقربهما منك بابا".
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Muhammad Bin Jafar ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, Abu Imran Juni se, un se Banu Taim Bin Murra ke ek sahab Talha Bin Abdullah ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke mein ne arz kiya, Ya Rasul Allah! meri do parousan hain, to mujhe kis ke ghar hadiya bhejna chahiye? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jis ka darwaza tum se qareeb ho."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6020
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا شعبة، قال: اخبرني ابو عمران، قال: سمعت طلحة، عن عائشة، قالت: قلت يا رسول الله:" إن لي جارين فإلى ايهما اهدي؟ قال: إلى اقربهما منك بابا".
Hum se Hajjaj bin Minhal ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, kaha ke mujhe Abu Imran ne khabar di, kaha ke main ne Talha se suna aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke main ne arz kiya: ya Rasool اللہ! Meri parosnein hain (agar hadiya ek ho to) main in mein se kis ke paas hadiya bheijoon? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jis ka darwaza tum se (tumhare darwaze se) zyada qareeb ho.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة