الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب السلم
Kitab: Bai Salam ke bayan mein
باب السلم فى النخل:
Bab: Darakht par jo khajoor lagi hui ho is mein bay' salam karna.
Hadith Number: 2250
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن عمرو، عن ابي البختري، سالت ابن عمر رضي الله عنه، عن السلم في النخل؟ فقال: نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن بيع الثمر حتى يصلح، ونهى عن الورق بالذهب نساء بناجز، وسالت ابن عباس، فقال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن بيع النخل حتى ياكل، او يؤكل وحتى يوزن"، قلت: وما يوزن، قال رجل عنده: حتى يحرز.
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha ke hum se Ghundar ne bayan kiya, kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya, un se Amr ne, un se Abul Bakhtari ne ke mein ne Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) se khajoor ki darakht par bai-salam ke mutalliq poocha to unhon ne kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne phal ko us waqt tak bechne se mana farmaya hai jab tak wo nafa uthane ke qabil na ho jaye, isi tarah chandi ko sone ke badle bechne se jab ke ek udhaar aur doosra naqad ho mana farmaya hai. Phir mein ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se poocha to unhon ne kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne khajoor ko darakht par bechne se jab tak wo khane ke qabil na ho jaye, isi tarah jab tak wo wazan karne ke qabil na ho jaye mana farmaya hai. Mein ne poocha ke wazan kiye jane ka kya matlab hai ? To ek sahab ne jo un ke paas baithe hue thay kaha ke matlab ye hai ke jab tak wo is qabil na ho jaye ke wo andaza ki ja sakay
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1486
حدثنا حجاج، حدثنا شعبة، اخبرني عبد الله بن دينار، سمعت ابن عمر رضي الله عنهما" نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن بيع الثمرة حتى يبدو صلاحها , وكان إذا سئل عن صلاحها، قال: حتى تذهب عاهته".
Hum se Hajjaj bin Minhal ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya ‘ kaha ke mujhe Abdullah bin Dinar ne khabar di ‘ kaha ke maine Ibn Umar razi Allahu anhuma se suna ‘ unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne khajoor ko (darakht par) is waqt tak baichne se mana farmaya hai jab tak is ki pukhtagi zahir na ho . Aur Ibn Umar razi Allahu anhuma se jab poochte ke is ki pukhtagi kya hai , woh kehte ke jab yeh maloom ho jaye ke ab yeh phal aafat se bach rahe ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2246
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، اخبرنا عمرو، قال: سمعت ابا البختري الطائي، قال: سالت ابن عباس رضي الله عنه، عن السلم في النخل، قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن بيع النخل، حتى يوكل منه، وحتى يوزن"، فقال الرجل: واي شيء يوزن، قال رجل: إلى جانبه حتى يحرز، وقال معاذ: حدثنا شعبة عن عمرو، قال ابو البختري سمعت ابن عباس رضي الله عنه، نهى النبي صلى الله عليه وسلم، مثله.
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya, unhein Amr ne khabar di, unhon ne kaha ke mein ne Abul Bakhtari Taayi se suna, unhon ne kaha ke mein ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se khajoor ke darakht mein bai-salam ke mutalliq poocha to aap ne farmaya ke darakht par phal ko bechne se Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne us waqt tak ke liye mana farmaya tha jab tak wo khane ke qabil na ho jaye ya is ka wazan na kiya ja sakay. Ek shakhs ne poocha ke kya cheez wazan ki jaye gi. Is par Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ke qareeb hi baithe hue ek shakhs ne kaha ke matlab ye hai ke andaza karne ke qabil ho jaye aur Muaz ne bayan kiya, un se Shuba ne bayan kiya, un se Amr ne ke Abul Bakhtari ne kaha ke mein ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se suna ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mana kiya tha. Phir yahi hadees bayan ki
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة