الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب البيوع
Kitab: Khareed o farokht ke masail ka bayan
باب بيع المدبر:
Bab: Mudabbar ka bechna kaisa hai?
Hadith Number: 2232
حدثني زهير بن حرب، حدثنا يعقوب، حدثنا ابي، عن صالح، قال: حدث ابن شهاب، ان عبيد الله اخبره، ان زيد بن خالد، وابا هريرة رضي الله عنه اخبراه،" انهما سمعا رسول الله صلى الله عليه وسلم يسال عن الامة تزني ولم تحصن؟ قال: اجلدوها، ثم إن زنت فاجلدوها، ثم بيعوها بعد الثالثة او الرابعة".
Mujh se Zuhair Bin Harb ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Yaqub ne bayan kiya, un se un ke walid ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Salih ne bayan kiya ke Ibn Shihab ne bayan kiya, unhein Ubaidullah ne khabar di, unhein Zaid Bin Khalid aur Abu Hurairah (Radi Allahu Anhuma) ne khabar di ke in donon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna, Aap se ghair shadi shuda bandi ke mutalliq jo zina kar lay sawal kiya gaya, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke ise kore lagao, phir agar wo zina kar lay to ise kore lagao. Aur phir ise bech do. (Aakhri jumla Aap ne) teesri ya chauthi martaba ke baad (farmaya tha)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2152
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، قال: حدثني سعيد المقبري، عن ابيه، عن ابي هريرة رضي الله عنه، انه سمعه، يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إذا زنت الامة فتبين زناها فليجلدها ولا يثرب، ثم إن زنت فليجلدها ولا يثرب، ثم إن زنت الثالثة فليبعها ولو بحبل من شعر".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha ke hum se Liath ne bayan kiya, kaha ke mujhe Saeed Maqbari ne khabar di, un se un ke baap ne, aur unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ko ye kehte suna ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jab koi bandi zina kare aur is ke zina ka saboot (sharaee) mil jaye to usay kore lagwaye, phir is ki lanat malamat na kare. Is ke baad agar phir wo zina kare to phir kore lagwaye magar phir lanat malamat na kare. Phir agar teesri martaba bhi zina kare to usay bech de chahe baal ki ek rasi ke badla hi mein kyun na ho
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة