الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب البيوع
Kitab: Khareed o farokht ke masail ka bayan
باب من أجرى أمر الأمصار على ما يتعارفون بينهم فى البيوع والإجارة والمكيال، والوزن، وسننهم على نياتهم ومذاهبهم المشهورة:
Bab: Khareed o farokht aur ijare mein har mulk ke dastur ke mutabiq hukm diya jaye ga isi tarah maap aur tol aur doosre kamon mein un ki niyat aur rasm o riwaj ke mutabiq.
Show diacritics
Hadith Number: 2212
حدثني إسحاق، حدثنا ابن نمير، اخبرنا هشام. ح وحدثني محمد بن سلام، قال: سمعت عثمان بن فرقد، قال: سمعت هشام بن عروة يحدث، عن ابيه، انه سمع عائشة رضي الله عنها، تقول:" ومن كان غنيا فليستعفف ومن كان فقيرا فلياكل بالمعروف سورة النساء آية 6، انزلت في والي اليتيم الذي يقيم عليه، ويصلح في ماله، إن كان فقيرا اكل منه بالمعروف".
Mujh se Ishaq ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Numair ne bayan kiya, kaha ke humein Hisham ne khabar di (doosri sanad) aur mujh se Muhammad ne bayan kiya kaha ke mein ne Usman Bin Farqad se suna, unhon ne kaha ke mein ne Hisham Bin Urwah se suna, wo apne baap se bayan karte thay ke unhon ne Aisha (Radi Allahu Anha) se suna, wo farmatein theen ke (Quran ki ayat) «Wa-man kana ghaniyyan falyas-ta'fif wa-man kana faqeeran falya'kul bil-ma'roof» jo shakhs maldar ho wo (apni zir-e-parwarish yateem ka mal hazam karne se) apne ko bachaye. Aur jo faqeer ho wo naik niyate ke sath is mein se kha le.“ Ye ayat yateemon ke un sarparaston ke mutaliq nazil hui thi jo un ki aur un ke mal ki nigrani aur dekh bhaal karte hon ke agar wo faqeer hain to (is khidmat ke awaz) naik niyate ke sath is mein se kha sakte hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2865
حدثني عبيد بن إسماعيل، عن ابي اسامة، عن عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم:" انه كان إذا ادخل رجله في الغرز واستوت به ناقته قائمة اهل من عند مسجد ذي الحليفة".
Hum se Ubaid Bin Ismail ne bayan kiya, un se Abu Usama ne bayan kiya, un se Ubaidullah ne bayan kiya, un se Nafi ne bayan kiya aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne jab apna paye mubarak «grz» (rikab) mein dala aur oontni Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko le kar seedhi uth gayi to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Masjid-e-Zulhulaifa ke paas labbaik kaha (ihram bandha)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4575
حدثني إسحاق، اخبرنا عبد الله بن نمير، حدثنا هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، في قوله تعالى:" ومن كان غنيا فليستعفف ومن كان فقيرا فلياكل بالمعروف سورة النساء آية 6، انها نزلت في والي اليتيم إذا كان فقيرا، انه ياكل منه مكان قيامه عليه بمعروف".
Hum se Ishaq bin Rahwayh ne byaan kiya , kaha hum ko Abdullah bin Numayr ne khabar di , kaha hum se Hisham bin Urwah ne byaan kiya , un se un ke walid ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne Allah Ta'ala ke irshad «wa man kana ghaniyyan falyastaffif wa man kana faqeeran falyakul bil-maroofi» ”balkay jo shakhs khush-hal ho woh apne ko bilkul roke rakkhe . Albatta jo shakhs nadar ho woh wajibi taur par kha sakta hai .“ Ke baare mein farmaya ke yeh aayat yateem ke baare mein utri hai ke agar wali nadar ho to yateem ki parwarish aur dekh bhaal ki ujrat mein woh wajibi taur par (yateem ke maal mein se kuch) kha sakta hai (basharte ke niyat mein fasad na ho) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة