الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب البيوع
Kitab: Khareed o farokht ke masail ka bayan
باب النهي عن تلقي الركبان:
Bab: Pehle se aage ja kar qafile walon se milne ki mamanat aur ye bay' rad kar di jati hai.
Show diacritics
Hadith Number: 2163
حدثني عياش بن الوليد، حدثنا عبد الاعلى، حدثنا معمر، عن ابن طاوس، عن ابيه، قال: سالت ابن عباس رضي الله عنه،" ما معنى قوله: لا يبيعن حاضر لباد؟ فقال: لا يكن له سمسارا.
Mujh se Ayash Bin Abdul Waleed ne bayan kiya, kaha ke hum se Abdul Ala ne bayan kiya, kaha ke hum se Mamar ne bayan kiya, un se Ibn Taous ne, un se un ke baap ne bayan kiya ke mein ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se poocha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke is irshad ka matlab kya hai ke koi shehri kisi dehati ka mal na beche ? to unhon ne kaha ke matlab ye hai ke is ka dalal na bane
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2158
حدثنا الصلت بن محمد، حدثنا عبد الواحد، حدثنا معمر، عن عبد الله بن طاوس، عن ابيه، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا تلقوا الركبان، ولا يبيع حاضر لباد"، قال: فقلت لابن عباس: ما قوله لا يبيع حاضر لباد؟ قال: لا يكون له سمسارا.
Hum se Salt Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha ke hum se Abdul Wahid ne bayan kiya, kaha ke hum se Mamar ne bayan kiya, un se Abdullah Bin Taous ne, un se un ke baap ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya (tijarti) qafilon se aage ja kar na mila karo (un ko mandi mein aane do) aur koi shehri, kisi dehati ka saman na beche, unhon ne bayan kiya ke is par mein ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se poocha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke is irshad ka ke ”koi shehri kisi dehati ka mal na beche“ ka matlab kya hai ? to unhon ne farmaya ke matlab ye hai ke is ka dalal na bane
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة