الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوضوء
Kitab: Wuzu ke bayan mein
باب إذا أدخل رجليه وهما طاهرتان:
Bab: Wudu kar ke moze pehnne ke bayan mein.
Hadith Number: 206
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا زكرياء، عن عامر، عن عروة بن المغيرة، عن ابيه، قال: كنت مع النبي صلى الله عليه وسلم في سفر فاهويت لانزع خفيه، فقال:" دعهما، فإني ادخلتهما طاهرتين، فمسح عليهما".
Hum se Abu Nu’aim ne bayan kiya, kaha hum se Zakariyya ne Yahya ke waaste se naql kiya, woh Amir se woh ’Urwah bin Mugheerah se, woh apne baap (Mugheerah) se riwayat karte hain ke main ek safar mein Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath tha, to main ne chaaha (ke Wuzu karte waqt) Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke moze utaar daalun. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke inhein rahne do. Choonke jab main ne unhein pehna tha to mere paaon paak the. (Yani main Wuzu se tha) pas Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un par masah kiya۔
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 204
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا شيبان، عن يحيى، عن ابي سلمة، عن جعفر بن عمرو بن امية الضمري، ان اباه اخبره، انه راى النبي صلى الله عليه وسلم" يمسح على الخفين"، وتابعه حرب بن شداد، وابان، عن يحيى.
Hum se Abu Nu’aim ne bayan kiya, kaha hum se Shaibaan ne Yahya ke waaste se naql kiya, woh Abu Salamah se, unhon ne Ja’far bin ’Amr bin Umaiyah Az-Zamri se naql kiya, unhein un ke baap ne khabar di ke unhon ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko mozon par masah karte huwe dekha. Is Hadees ki Mutaba’at mein Harb aur Abaan ne Yahya se Hadees naql ki hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5799
حدثنا ابو نعيم، حدثنا زكرياء، عن عامر، عن عروة بن المغيرة، عن ابيه رضي الله عنه، قال:" كنت مع النبي صلى الله عليه وسلم ذات ليلة في سفر، فقال: امعك ماء؟ قلت: نعم، فنزل عن راحلته فمشى حتى توارى عني في سواد الليل، ثم جاء، فافرغت عليه الإداوة، فغسل وجهه ويديه، وعليه جبة من صوف، فلم يستطع ان يخرج ذراعيه منها حتى اخرجهما من اسفل الجبة، فغسل ذراعيه، ثم مسح براسه، ثم اهويت لانزع خفيه، فقال: دعهما، فإني ادخلتهما طاهرتين"، فمسح عليهما.
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya , kaha hum se Zakariya ne bayan kiya , in se Aamir ne , in se Urwah bin Mugheera ne aur in se un ke walid Mugheera razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ek raat safar mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath tha Aap ne daryaft farmaya tumhare paas pani hai ? Main ne arz kiya ke ji haan . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apni sawari se utre aur chalte rahe yahan tak ke raat ki tareeki mein Aap chhup gaye phir wapas tashreef laaye to main ne bartan ka pani Aap ko istemal karaya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apna chehra dhoya , hath dhoye Aap oon ka jubba pehne huay thay jis ki aastin charhani Aap ke liye dushwar thi chunanche Aap ne apne hath jubbe ke neeche se nikale aur baazuon ko (kohniyon tak) dhoya . Phir sar par masah kiya phir main barha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke mozay utar doon lekin Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke rehne do main ne taharat ke baad unhein pehna tha chunanche Aap ne in par masah kiya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة