الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب البيوع
Kitab: Khareed o farokht ke masail ka bayan
باب من لم ير الوساوس ونحوها من المشبهات:
Bab: Dil mein waswasa aane se shubha na karna chahiye.
Show diacritics
Hadith Number: 2057
حدثني احمد بن المقدام العجلي، حدثنا محمد بن عبد الرحمن الطفاوي، حدثنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، ان قوما قالوا:" يا رسول الله، إن قوما ياتوننا باللحم، لا ندري اذكروا اسم الله عليه ام لا؟ فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: سموا الله عليه وكلوه".
Hum se Ahmad Bin Miqdam Ajli ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Muhammad Bin Abdur Rahman Tafawi ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Hisham Bin Urwah ne bayan kiya, un se un ke walid (Urwah Bin Zubair) ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke kuch logon ne arz kiya ya Rasul Allah! bahut se log hamare yahan gosht late hain. Humein ye maloom nahi ke Allah ka naam unhon ne zibah ke waqt liya tha ya nahi ? Is par Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke tum Bismillah parh ke usay kha liya karo
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5507
حدثنا محمد بن عبيد الله، حدثنا اسامة بن حفص المدني، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها: ان قوما قالوا للنبي صلى الله عليه وسلم: إن قوما ياتونا باللحم لا ندري اذكر اسم الله عليه ام لا، فقال:" سموا عليه انتم وكلوه"، قالت: وكانوا حديثي عهد بالكفر، تابعه علي، عن الدراوردي، وتابعه ابو خالد، والطفاوي.
Hum se Muhammad bin Ubaidullah ne bayan kiya, kaha hum se Usamah bin Hafs Madni ne bayan kiya, in se Hisham bin Urwah ne, in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke (gaon ke) kuch log hamare yahan gosht (bechne) laate hain aur hamain maloom nahi ke unhon ne is par Allah ka naam bhi (zibah karte waqt) liya thu ya nahi? Aap ne farmaya ke tum in par khate waqt Allah ka naam liya karo aur kha liya karo. Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke yeh log abhi Islam mein naye naye dakhil huay thay. Is ki mutabia-t Ali ne Darawardi se ki aur is ki mutabia-t Abu Khalid aur Tafawi ne ki.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7398
حدثنا يوسف بن موسى، حدثنا ابو خالد الاحمر، قال: سمعت هشام بن عروة يحدث، عن ابيه، عن عائشة، قالت: قالوا:" يا رسول الله، إن ها هنا اقواما حديث عهدهم بشرك ياتونا بلحمان لا ندري يذكرون اسم الله عليها ام لا؟، قال: اذكروا انتم اسم الله وكلوا"، تابعه محمد بن عبد الرحمن، والدراوردي، واسامة بن حفص.
Hum se Yusuf bin Musa ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abu Khalid Ahmar ne bayan kiya, unhon ne kaha ke main ne Hisham bin Urwah suna, woh apne walid (Urwah bin Zubayr) se bayan karte thay ke in se Umm al-Momineen Aisha Siddiqa razi Allahu anha ne bayan kiya ke logon ne kaha: ya Rasool Allah! wahan ke qabile abhi haal hi mein Islam laaye aur woh hamain gosht la kar dete hain. Hamain yaqeen nahi hota ke zibah karte waqt unhon ne Allah ka naam bhi liya tha ya nahi (to kiya hum usay kha sakte hain?) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum is par Allah ka naam le kar usay kha liya karo. Is riwayat ki mutabia-t Muhammad bin Abd-ul-Rahman Darawardi aur Usamah bin Hafs ne ki.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة