الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصوم
Kitab: Rozay ke masail ka bayan
باب المباشرة للصائم:
Bab: Roza dar ka apni biwi se mubashirat yani bosa, masas waghera durust hai.
Hadith Number: 1927
حدثنا سليمان بن حرب، قال: عن شعبة، عن الحكم، عن إبراهيم، عن الاسود، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يقبل ويباشر وهو صائم، وكان املككم لإربه"، وقال: قال ابن عباس: مآرب حاجة، قال طاوس: غير اولي الإربة الاحمق، لا حاجة له في النساء.
Hum se Suleiman Bin Harb ne bayan kiya, un se Shuba ne, un se Hakam ne, un se Ibrahim ne un se Aswad ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) roze se hote lekin (apni azwaj ke sath) «yuqabbilu» (bosa lena) wa mubashirat (apne jism se laga lena) bhi kar lete thay. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) tum sab se zyada apni khwahishat par qabu rakhne wale thay, bayan kiya ke Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne kaha ke (Surah Taha mein jo «ma-arib» ka lafz hai wo) hajat-o-zaroorat ke maani mein hai, Taous ne kaha ke lafz «uli al-irbati» (jo Surah al-Noor mein hai) is ahmaq ko kahein ge jisay aurton ki koi zaroorat na ho
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1928
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا يحيى، عن هشام، قال: اخبرني ابي، عن عائشة، عن النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" إن كان رسول الله صلى الله عليه وسلم ليقبل بعض ازواجه وهو صائم"، ثم ضحكت.
Hum se Muhammad Bin Muthanna ne bayan kiya, kaha hum se Yahya Bin Saeed Qattan ne bayan kiya, un se Hisham ne bayan kiya ke mujhe mere walid Urwah ne khabar di aur unhein Aisha (Radi Allahu Anha) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke hawala se (doosri sanad Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha ke) aur hum se Abdullah Bin Muslimah ne bayan kiya, un se Imam Malik (Rahimahullah) ne, un se Hisham Bin Urwah ne, un se un ke baap ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) apni baaz azwaj ka roza dar hone ke bawajood bosa le liya karte thay. Phir aap hansein
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة