الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصوم
Kitab: Rozay ke masail ka bayan
باب تأخير السحور:
Bab: Sehri khane mein der karna.
Show diacritics
Hadith Number: 1920
حدثنا محمد بن عبيد الله، حدثنا عبد العزيز بن ابي حازم، عن ابي حازم، عن سهل بن سعد رضي الله عنه، قال:" كنت اتسحر في اهلي، ثم تكون سرعتي ان ادرك السجود مع رسول الله صلى الله عليه وسلم".
Hum se Muhammad Bin Ubaidullah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdul Aziz Bin Abi Hazim ne bayan kiya, un se Abu Hazim ne bayan kiya aur un se Sahl Bin Saad (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein sahari apne ghar khata phir jaldi karta taake namaz Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath mil jaye
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 577
حدثنا إسماعيل بن ابي اويس، عن اخيه، عن سليمان، عن ابي حازم، انه سمع سهل بن سعد، يقول:" كنت اتسحر في اهلي، ثم يكون سرعة بي ان ادرك صلاة الفجر مع رسول الله صلى الله عليه وسلم".
Hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya apne bhai Abdul Hameed bin Abi Uwais se , unhon ne Sulaiman bin Bilal se , unhon ne Abi Hazim Salama bin Dinar se ke unhon ne Sahl bin Saad raziyallahu anhu sahaba se suna , aap ne farmaya ke mein apne ghar sehri khata , phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke sath namaz fajr pane ke liye mujhe jaldi karni parti thi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة