الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصوم
Kitab: Rozay ke masail ka bayan
باب قول النبى صلى الله عليه وسلم: لا يمنعنكم من سحوركم أذان بلال :
Bab: Nabi Karim Sallallahu Alaihi Wasallam ka ye farmana ke Bilal ki azan tumhein sehri khane se na roke.
Show diacritics
Hadith Number: 1919
حدثنا عبيد بن إسماعيل، عن ابي اسامة، عن عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر، والقاسم بن محمد، عن عائشة رضي الله عنها:" ان بلالا كان يؤذن بليل، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: كلوا واشربوا حتى يؤذن ابن ام مكتوم، فإنه لا يؤذن حتى يطلع الفجر"، قال القاسم: ولم يكن بين اذانهما إلا ان يرقى ذا، وينزل ذا.
Hum se Ubaid Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usamah ne, un se Ubaidullah ne, un se Nafi ne aur un se Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne aur (Ubaidullah Bin Umar Radi Allahu Anhuma ne yehi riwayat) Qasim Bin Muhammad se aur unhon ne Aisha (Radi Allahu Anha) se ke Bilal (Radi Allahu Anhu) kuch raat rahe se azan de diya karte thay is liye Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jab tak Ibn Umm-e-Maktum (Radi Allahu Anhu) azan na dein tum khate peete raho kyunke wo subah sadiq ke tulu se pehle azan nahi dete. Qasim ne bayan kiya ke donon (Bilal aur Umm-e-Maktum Radi Allahu Anhuma) ki azan ke darmiyan sirf itna fasla hota tha ke ek charhte to doosre utarte
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 617
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابن شهاب، عن سالم بن عبد الله، عن ابيه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" إن بلالا يؤذن بليل، فكلوا واشربوا حتى ينادي ابن ام مكتوم، ثم قال: وكان رجلا اعمى لا ينادي حتى يقال له اصبحت اصبحت".
Hum se Abdullah bin Maslama Qanabi ne bayan kiya Imam Malik se , unhon ne Ibn Shihab se , unhon ne Salim bin Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma se , unhon ne apne walid Abdullah bin Umar se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke dekho Bilal raziyallahu anhu raat rahe azan dete hain . Is liye tum log khaate peete raho . Yahan tak ke Ibn Umm Maktum azan den . Raawi ne kaha ke woh nabina thay aur is waqt tak azan nahi dete thay jab tak un se kaha na jata ke subah ho gayi . Subah ho gayi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة