الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصوم
Kitab: Rozay ke masail ka bayan
باب قول النبى صلى الله عليه وسلم: لا نكتب ولا نحسب :
Bab: Nabi Karim Sallallahu Alaihi Wasallam ka ye farmana ke hum log hisab kitab nahi jaante.
Show diacritics
Hadith Number: 1913
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا الاسود بن قيس، حدثنا سعيد بن عمرو، انه سمع ابن عمر رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، انه قال:" إنا امة امية، لا نكتب ولا نحسب الشهر هكذا"، وهكذا يعني مرة تسعة وعشرين، ومرة ثلاثين.
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Aswad Bin Qais ne bayan kiya, un se Saeed Bin Amr ne bayan kiya aur unhon ne Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) se suna ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, hum ek be parhi likhi qaum hain na likhna jante hain na hisab karna. Mahina yun hai aur yun hai. Aap ki murad ek martaba untees (dinon se) thi aur ek martaba tees se. (Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne dason ungliyon se teen baar batlaya)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1908
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن جبلة بن سحيم، قال: سمعت ابن عمر رضي الله عنه، يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" الشهر هكذا وهكذا، وخنس الإبهام في الثالثة".
Hum se Abu-al-Walid ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Jabala Bin Suhaim ne bayan kiya, ke mein ne Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) se suna, unhon ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya mahina itne dinon aur itne dinon ka hota hai. Teesri martaba kehte hue Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne anghoothe ko daba liya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة