الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصوم
Kitab: Rozay ke masail ka bayan
باب الريان للصائمين:
Bab: Roza daron ke liye Rayyan (nami ek darwaza jannat mein banaya gaya hai is ki tafseel ka bayan).
Show diacritics
Hadith Number: 1897
حدثنا إبراهيم بن المنذر، قال: حدثني معن، قال: حدثني مالك، عن ابن شهاب، عن حميد بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" من انفق زوجين في سبيل الله نودي من ابواب الجنة: يا عبد الله، هذا خير، فمن كان من اهل الصلاة دعي من باب الصلاة، ومن كان من اهل الجهاد دعي من باب الجهاد، ومن كان من اهل الصيام دعي من باب الريان، ومن كان من اهل الصدقة دعي من باب الصدقة"، فقال ابو بكر رضي الله عنه: بابي انت وامي يا رسول الله، ما على من دعي من تلك الابواب من ضرورة، فهل يدعى احد من تلك الابواب كلها، قال: نعم، وارجو ان تكون منهم.
Hum se Ibrahim Bin al-Munzir ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Maeen Bin Isa ne bayan kiya, kaha mujh se Imam Malik ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, un se Humaid Bin Abdur Rahman ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jo Allah ke raste mein do cheezain kharch kare ga usay farishte jannat ke darwazon se bulayein ge ke ae Allah ke bande! ye darwaza accha hai phir jo shakhs namazi ho ga usay namaz ke darwaza se bulaya ga jo mujahid ho ga usay jihad ke darwaze se bulaya jaye jo roza dar ho ga usay «Bab al-Rayyan» se bulaya jaye ga aur jo zakat ada karne wala ho ga usay zakat ke darwaza se bulaya jaye ga. Is par Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ne poocha mere maan baap Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) par fida hon ya Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)! jo log in darwazon (mein se kisi ek darwaza) se bulaye jayein ge mujhe un se bahas nahi, aap ye farmayein ke kya koi aisa bhi ho ga jisay in sab darwazon se bulaya jaye ga ? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke han aur mujhe umeed hai ke aap bhi unhein mein se hon ge
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2841
حدثني سعد بن حفص، حدثنا شيبان، عن يحيى، عن ابي سلمة، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من انفق زوجين في سبيل الله دعاه خزنة الجنة، كل خزنة باب اي فل هلم، قال ابو بكر: يا رسول الله، ذاك الذي لا توى عليه، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: إني لارجو ان تكون منهم".
Hum se Saad Bin Hafs ne bayan kiya, kaha hum se Shaiban ne bayan kiya Yahya se, wo Abu Salama se aur unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jis shakhs ne Allah ke raste mein ek jora (kisi cheez ka) kharch kiya to use jannat ke darogha bulayein ge. Jannat ke har darwaze ka darogha (apni taraf) bulaye ga ke ae falan! Is darwaze se aa, is par Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) bole. Ya Rasul Allah! Phir is shakhs ko koi khauf nahi rahe ga. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya mujhe umeed hai ke tum bhi unhein mein se ho ge
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3216
حدثنا آدم، حدثنا شيبان، حدثنا يحيى بن ابي كثير، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" من انفق زوجين في سبيل الله دعته خزنة الجنة اي فل هلم"، فقال ابو بكر: ذاك الذي لا توى عليه، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ارجو ان تكون منهم".
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shaiban ne bayan kiya, un se Yahya Bin Abi Kaseer ne bayan kiya, un se Abu Salama ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) farma rahe thay ke Allah ke raste mein jo shakhs kisi cheez ka bhi joda de, to Jannat ke chaukidar farishte ise bulayenge ke falan is darwaze se andar aa ja. Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ne is par kaha ke ye to wo shakhs hoga jise koi nuqsan na hoga. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke mujhe umeed hai ke tu bhi unhi mein se hoga
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3666
حدثنا ابو اليمان، حدثنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني حميد بن عبد الرحمن بن عوف، ان ابا هريرة، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" من انفق زوجين من شيء من الاشياء في سبيل الله دعي من ابواب يعني الجنة يا عبد الله هذا خير، فمن كان من اهل الصلاة دعي من باب الصلاة , ومن كان من اهل الجهاد دعي من باب الجهاد , ومن كان من اهل الصدقة دعي من باب الصدقة , ومن كان من اهل الصيام دعي من باب الصيام وباب الريان"، فقال ابو بكر: ما على هذا الذي يدعى من تلك الابواب من ضرورة، وقال: هل يدعى منها كلها احد يا رسول الله، قال:" نعم وارجو ان تكون منهم يا ابا بكر".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shuaib ne bayan kiya, un se Zuhri ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujhe Humaid bin Abdur Rahman bin Awf ne khabar di aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mein ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se suna, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke jis ne Allah ke raste mein kisi cheez ka ek jora kharch kiya (maslan do rupaye, do kapre, do ghore Allah Ta'ala ke raste mein diye) to ise jannat ke darwazon se bulaya jayega ke Ae Allah ke bande! Idhar aa, yeh darwaza behtar hai pas jo shakhs namazi hoga ise namaz ke darwaze se bulaya jayega, jo shakhs mujahid hoga ise jihad ke darwaze se bulaya jayega, jo shakhs ahl-e-sadqa mein se hoga ise sadqa ke darwaza se bulaya jayega aur jo shakhs rozadar hoga ise siyam aur rayyan (seerabi) ke darwaze se bulaya jayega. Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne arz kiya jis shakhs ko in tamam hi darwazon se bulaya jayega phir to ise kisi qism ka khouf baqi nahi rahega aur poocha kya koi shakhs aisa bhi hoga jise in tamam darwazon se bulaya jayega Ya Rasul Allah! Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Haan aur mujhe umeed hai ke tum bhi unhein mein se hoge Ae Abu Bakr!.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة