الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المحصر
Kitab: Muhrim ke roke jaane aur shikar ka badla dene ke bayan mein
باب النسك شاة:
Bab: Quran Majeed mein «nusk» se murad bakri hai.
Show diacritics
Hadith Number: 1817
حدثنا إسحاق، حدثنا روح، حدثنا شبل، عن ابن ابي نجيح، عن مجاهد، قال: حدثني عبد الرحمن بن ابي ليلى، عن كعب بن عجرة رضي الله عنه،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم رآه، وانه يسقط على وجهه، فقال: ايؤذيك هوامك؟ قال: نعم، فامره ان يحلق وهو بالحديبية، ولم يتبين لهم انهم يحلون بها وهم على طمع ان يدخلوا مكة، فانزل الله الفدية، فامره رسول الله صلى الله عليه وسلم: ان يطعم فرقا بين ستة، او يهدي شاة، او يصوم ثلاثة ايام".
Hum se Ishaq ne bayan kiya, kaha hum se Rooh ne bayan kiya, un se Shibl Bin Ibad ne bayan kiya, un se Ibn Abi Najeeh ne bayan kiya, un se Mujahid ne bayan kiya ke mujh se Abdur Rahman Bin Abi Laila ne bayan kiya aur un se Kaab Bin Ujrah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne unhein dekha to jooein un ke chehre par gir rahi theen, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne poocha kya in joonon se tumhein takleef hai ? Unhon ne kaha ke ji han, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne unhein hukm diya ke apna sar munda lein. Wo is waqt Hudaibiyah mein thay. (Sulh-e-Hudaibiyah ke saal) aur kisi ko ye maloom nahi tha ke wo Hudaibiyah hi mein reh jayein ge balkay sab ki khwahish ye thi ke Makkah mein dakhil hon. Phir Allah Ta'ala ne fidyah ka hukm nazil farmaya aur Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne hukm diya ke chheh miskeenon ko ek faraq (yani teen saa ghalla) taqseem kar diya jaye ya ek bakri ki qurbani kare ya teen din ke roze rakhe
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1814
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن حميد بن قيس، عن مجاهد، عن عبد الرحمن بن ابي ليلى، عن كعب بن عجرة رضي الله عنه، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، انه قال:" لعلك آذاك هوامك؟ قال: نعم يا رسول الله، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:احلق راسك، وصم ثلاثة ايام، او اطعم ستة مساكين، او انسك بشاة".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Humaid Bin Qais ne, unhein Mujahid ne, unhein Abdur Rahman Bin Abi Laila ne aur unhein Kaab Bin Ujrah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un se farmaya, ghaliban joonon se tum ko takleef hai, unhon ne kaha ke ji han ya Rasul Allah! Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke phir apna sar munda le aur teen din ke roze rakh le ya chheh miskeenon ko khana khila de ya ek bakri zabah kar
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة