الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب النزول بذي طوى قبل أن يدخل مكة، والنزول بالبطحاء التى بذي الحليفة إذا رجع من مكة:
Bab: Makkah mein dakhil hone se pehle Zi Tuwa mein qiyam karna aur Makkah se wapsi mein Zul Hulaifah ke kankariyle maidan mein qiyam karna.
Hadith Number: 1767
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا ابو ضمرة، حدثنا موسى بن عقبة، عن نافع،" ان ابن عمر رضي الله عنهما كان يبيت بذي طوى بين الثنيتين، ثم يدخل من الثنية التي باعلى مكة، وكان إذا قدم مكة حاجا او معتمرا لم ينخ ناقته إلا عند باب المسجد، ثم يدخل فياتي الركن الاسود فيبدا به، ثم يطوف سبعا ثلاثا سعيا واربعا مشيا، ثم ينصرف فيصلي ركعتين، ثم ينطلق قبل ان يرجع إلى منزله فيطوف بين الصفا والمروة، وكان إذا صدر عن الحج او العمرة اناخ بالبطحاء التي بذي الحليفة التي كان النبي صلى الله عليه وسلم ينيخ بها".
Hum se Ibrahim Bin Al-Munzir ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Abu Zamrah Anas Bin Iyaz ne bayan kiya, un se Musa Bin Uqbah ne bayan kiya, un se Nafi ne ke Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) Makkah jate waqt Zi Tuwa ki dono pahariyon ke darmiyan raat guzarte thay aur phir is pahari se ho kar guzarte jo Makkah ke oopar ki taraf hai aur jab Makkah mein Haj ya Umrah ka ihram bandhne aate to apni ontni masjid ke darwaza par la kar bithate phir Hajar-e-Aswad ke paas aate aur yaheen se tawaf shuru karte, tawaf saat chakron mein khatam hota jis ke shuru mein ramal karte aur chaar mein mamooli ke mutabiq chalte, tawaf ke baad do rakat namaz parhte phir dera par wapas hone se pehle Safa aur Marwah ki dour karte. Jab Haj ya Umrah kar ke Madinah wapas hote to Zu Al-Hulaifah ke maidan mein sawari bithate, jahan Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) bhi (Makkah se Madinah wapas hote hue) apni sawari bithaya karte thay
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1574
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن عبيد الله، قال: حدثني نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" بات النبي صلى الله عليه وسلم بذي طوى حتى اصبح، ثم دخل مكة"، وكان ابن عمر رضي الله عنهما يفعله.
Hum se Musaddad ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Yahya Qattan ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ubaidullah Umari ne byaan kiya , un se Nafi ne Ibn Umar razi Allahu anhuma se byaan kiya , Aap razi Allahu anhu ne farmaya ke ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Di-Tuwa mein raat guzari . Phir jab subah hui to Aap salla Allahu alaihi wasallam Makka mein dakhil hue . Ibn Umar razi Allahu anhuma bhi isi tarah karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 491
وان عبد الله بن عمر حدثه، ان النبي صلى الله عليه وسلم كان ينزل بذي طوى ويبيت حتى يصبح يصلي الصبح حين يقدم مكة، ومصلى رسول الله صلى الله عليه وسلم ذلك على اكمة غليظة ليس في المسجد الذي بني ثم، ولكن اسفل من ذلك على اكمة غليظة.
Aur Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma ne Nafi se bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam maqam Dhi Tuwa mein qiyam farmate aur raat yahin guzara karte thay aur subah hoti to namaz fajr yahin parhte . Makka jate hue . Yahan Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke namaz parhne ki jagah ek bare se tele par thi . Is masjid mein nahi jawab wahan bani hui hai balkay is se neechay ek bara tela tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة