الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْحَجِّ
The Book of Hajj
بَابُ النُّزُولِ بِذِي طُوًى قَبْلَ أَنْ يَدْخُلَ مَكَّةَ، وَالنُّزُولِ بِالْبَطْحَاءِ الَّتِي بِذِي الْحُلَيْفَةِ إِذَا رَجَعَ مِنْ مَكَّةَ:
Chapter. To camp at Dhi-Tuwa before entering Makkah and to camp at Al-Batha which is at Dhul-Hulaifa on returning from Makkah (to Al-Madina).
Show diacritics
Hadith Number: 1767
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا ابو ضمرة، حدثنا موسى بن عقبة، عن نافع،" ان ابن عمر رضي الله عنهما كان يبيت بذي طوى بين الثنيتين، ثم يدخل من الثنية التي باعلى مكة، وكان إذا قدم مكة حاجا او معتمرا لم ينخ ناقته إلا عند باب المسجد، ثم يدخل فياتي الركن الاسود فيبدا به، ثم يطوف سبعا ثلاثا سعيا واربعا مشيا، ثم ينصرف فيصلي ركعتين، ثم ينطلق قبل ان يرجع إلى منزله فيطوف بين الصفا والمروة، وكان إذا صدر عن الحج او العمرة اناخ بالبطحاء التي بذي الحليفة التي كان النبي صلى الله عليه وسلم ينيخ بها".
Hum se Ibrahim Bin Al-Munzir ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Abu Zamrah Anas Bin Iyaz ne bayan kiya, un se Musa Bin Uqbah ne bayan kiya, un se Nafi ne ke Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) Makkah jate waqt Zi Tuwa ki dono pahariyon ke darmiyan raat guzarte thay aur phir is pahari se ho kar guzarte jo Makkah ke oopar ki taraf hai aur jab Makkah mein Haj ya Umrah ka ihram bandhne aate to apni ontni masjid ke darwaza par la kar bithate phir Hajar-e-Aswad ke paas aate aur yaheen se tawaf shuru karte, tawaf saat chakron mein khatam hota jis ke shuru mein ramal karte aur chaar mein mamooli ke mutabiq chalte, tawaf ke baad do rakat namaz parhte phir dera par wapas hone se pehle Safa aur Marwah ki dour karte. Jab Haj ya Umrah kar ke Madinah wapas hote to Zu Al-Hulaifah ke maidan mein sawari bithate, jahan Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) bhi (Makkah se Madinah wapas hote hue) apni sawari bithaya karte thay
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1768
حدثنا عبد الله بن عبد الوهاب، حدثنا خالد بن الحارث، قال: سئل عبيد الله عن المحصب، فحدثنا عبيد الله، عن نافع، قال:" نزل بها رسول الله صلى الله عليه وسلم، وعمر، وابن عمر، وعن نافع، ان ابن عمر رضي الله عنهما كان يصلي بها يعني المحصب الظهر والعصر , احسبه قال: والمغرب، قال خالد: لا اشك في العشاء ويهجع هجعة" ويذكر ذلك عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Abdullah Bin Abdul Wahhab ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Khalid Bin Haris ne bayan kiya, unhon ne kaha ke Ubaidullah se Muhassab ke bare mein poocha gaya to unhon ne nafi se bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) aur Umar aur Ibn Umar (Radi Allahu Anhum) ne Muhassab mein qiyam farmaya tha. Nafi se riwayat hai ke Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) Muhassab mein Zohar aur Asr parhte thay. Mera khayal hai ke unhon ne Maghrib (parhne ka bhi) zikr kiya, Khalid ne bayan kiya ke Isha mein mujhe koi shak nahi. Is ke parhne ka zikr zaroor kiya phir thori der ke liye wahan so rehte Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se bhi aisa hi mazkoor hai
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain