الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب هل يبيت أصحاب السقاية أو غيرهم بمكة ليالي منى:
Bab: Mina ki raaton mein jo log Makkah mein paani pilate hain ya aur kuch kaam karte hain woh Makkah mein reh sakte hain.
Show diacritics
Hadith Number: 1743
حدثنا محمد بن عبيد بن ميمون، حدثنا عيسى بن يونس، عن عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، رخص النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Muhammad Bin Ubaid Bin Maimun ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Isa Bin Yunus ne, un se Ubaidullah ne, un se Nafi ne aur un se Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ijazat di
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1634
حدثنا عبد الله بن ابي الاسود، حدثنا ابو ضمرة، حدثنا عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" استاذن العباس بن عبد المطلب رضي الله عنه رسول الله صلى الله عليه وسلم ان يبيت بمكة ليالي منى من اجل سقايته، فاذن له".
Hum se Abdullah Bin Muhammad Bin Abi Al-Aswad ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Abu Zamrah ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Ubaidullah Umari ne bayan kiya, un se Nafi ne, un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Abbas Bin Abdul Muttalib (Radi Allahu Anhu) ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se apne pani (Zamzam ka hajiyon ko) pilane ke liye Mina ke dinon mein Makkah theherne ki ijazat chahi to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un ko ijazat de di
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة