الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب الصلاة بمنى:
Bab: Mina mein namaz parhne ka byan
Show diacritics
Hadith Number: 1656
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق الهمداني، عن حارثة بن وهب الخزاعي رضي الله عنه، قال:" صلى بنا النبي صلى الله عليه وسلم ونحن اكثر ما كنا قط، وآمنه بمنى ركعتين".
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha ke hum se Shuba ne Abu Ishaq Hamdani se bayan kiya aur un se Harisa Bin Wahb Khuzai (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Mina mein humein do rakaat parhaein, hamara shumar is waqt sab se zyada tha aur hum itne be-dar kisi waqt mein na thay. (Is ke bawajood hum ko namaz qasr parhayi)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1082
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى، عن عبيد الله، قال: اخبرني نافع، عن عبد الله رضي الله عنهما، قال:" صليت مع النبي صلى الله عليه وسلم بمنى ركعتين، وابي بكر، وعمر، ومع عثمان صدرا من إمارته ثم اتمها".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya ne Ubaidullah Umari se byaan kiya , kaha ke mujhe Nafey ne khabar di aur unhen Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne , kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Abu Bakr aur Umar razi Allahu anhuma ke saath Mina mein do rakat (yani chaar rakat wali namazon mein) qasar parhi . Usman razi Allahu anhu ke saath bhi un ke daur-e-khilafat ke shuru mein do hi rakat parhi thin . Lekin baad mein aap razi Allahu anhu ne poori parhi thin .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1083
حدثنا ابو الوليد، قال: حدثنا شعبة، انبانا ابو إسحاق، قال: سمعت حارثة بن وهب، قال:" صلى بنا النبي صلى الله عليه وسلم آمن ما كان بمنى ركعتين".
Hum se Abul Waleed ne byaan kiya , kaha ke hum se Shu'bah ne byaan kiya , kaha ke hamen Abu Ishaq ne khabar di , unhon ne Harisah se suna aur unhon ne Wahb razi Allahu anhu se ke aap ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Mina mein aman ki halat mein hamen do rakat namaaz parhayi thi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1084
حدثنا قتيبة، قال: حدثنا عبد الواحد، عن الاعمش، قال: حدثنا إبراهيم، قال: سمعت عبد الرحمن بن يزيد، يقول:" صلى بنا عثمان بن عفان رضي الله عنه بمنى اربع ركعات، فقيل ذلك لعبد الله بن مسعود رضي الله عنه فاسترجع، ثم قال: صليت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم بمنى ركعتين، وصليت مع ابي بكر الصديق رضي الله عنه بمنى ركعتين، وصليت مع عمر بن الخطاب رضي الله عنه بمنى ركعتين، فليت حظي من اربع ركعات ركعتان متقبلتان".
Hum se Qutaibah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdul Wahid bin Ziyad ne byaan kiya , un se Aamash ne , unhon ne kaha ke hum se Ibrahim Nakh'i ne byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Abdur Rahman bin Yazid se suna , woh kehte thay ke hamen Usman bin Affan razi Allahu anhu ne Mina mein chaar rakat namaaz parhayi thi lekin jab is ka zikr Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se kiya gaya to unhon ne kaha ke «inna lillahi wa inna ilaihi raji'oon» . Phir kehne lage main ne to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath Mina mein do rakat namaaz parhi hai aur Abu Bakr Siddiq razi Allahu anhu ke saath bhi main ne do rakat hi parhi hain aur Umar bin Khattab razi Allahu anhu ke saath bhi do rakat hi parhi thi kaash mere hissa mein in chaar rakato ke bajaye do maqbool rakaten hotin .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1655
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا ابن وهب، اخبرني يونس، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عبيد الله بن عبد الله بن عمر، عن ابيه، قال:" صلى رسول الله صلى الله عليه وسلم بمنى ركعتين"، وابو بكر وعمر وعثمان صدرا من خلافته.
Hum se Ibrahim Bin Al-Munzir ne bayan kiya, kaha ke hum se Abdullah Bin Wahb ne bayan kiya, kaha ke mujhe Yunus ne Ibn Shihab se khabar di, kaha ke mujhe Ubaidullah Bin Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne apne baap se khabar di ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Mina mein do rakaat parheen aur Abu Bakr aur Umar (Radi Allahu Anhuma) bhi aisa karte rahe aur Usman (Radi Allahu Anhu) bhi khilafat ke shuru ayyam mein (do) hi rakat parhte thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1657
حدثنا قبيصة بن عقبة، حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن عبد الرحمن بن يزيد، عن عبد الله رضي الله عنه، قال:"صليت مع النبي صلى الله عليه وسلم ركعتين، ومع ابي بكر رضي الله عنه ركعتين، ومع عمر رضي الله عنه ركعتين، ثم تفرقت بكم الطرق فيا ليت حظي من اربع ركعتان متقبلتان".
Hum se Qabisa Bin Uqbah ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan Suri ne, un se Aamash ne, un se Ibrahim Nakhai ne, un se Abdul Rahman Bin Yazid ne aur un se Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath Mina mein do rakat namaz parhi aur Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ke sath bhi do hi rakat parhi aur Umar (Radi Allahu Anhu) ke sath bhi do hi rakat, lekin phir un ke baad tum mein ikhtilaf ho gaya to kash in chaar rakaton ke badle mujh ko do rakaat hi naseeb hoteen jo (Allah ke haan) qabool ho jayein
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة