الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب من لم يستلم إلا الركنين اليمانيين:
Bab: Is shakhs se mutalliq jis ne sirf dono arkan yamani ka istalam kiya
Show diacritics
Hadith Number: 1609
حدثنا ابو الوليد، حدثنا ليث، عن ابن شهاب، عن سالم بن عبد الله، عن ابيه رضي الله عنهما، قال:" لم ار النبي صلى الله عليه وسلم يستلم من البيت، إلا الركنين اليمانيين".
Hum se Abul Waleed Tayalisi ne byaan kiya , un se Layth bin Saad ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne , un se Salim bin Abdullah ne , un se in ke walid Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke maine Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko sirf dono Yamani arkaan ka istilam karte dekha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 166
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن سعيد المقبري، عن عبيد بن جريج، انه قال لعبد الله بن عمر: يا ابا عبد الرحمن، رايتك تصنع اربعا لم ار احدا من اصحابك يصنعها، قال: وما هي يا ابن جريج؟ قال: رايتك لا تمس من الاركان إلا اليمانيين، ورايتك تلبس النعال السبتية، ورايتك تصبغ بالصفرة، ورايتك إذا كنت بمكة اهل الناس إذا راوا الهلال ولم تهل انت حتى كان يوم التروية، قال عبد الله:" اما الاركان، فإني لم ار رسول الله صلى الله عليه وسلم يمس إلا اليمانيين، واما النعال السبتية فإني رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يلبس النعل التي ليس فيها شعر ويتوضا فيها، فانا احب ان البسها، واما الصفرة فإني رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يصبغ بها، فانا احب ان اصبغ بها، واما الإهلال فإني لم ار رسول الله صلى الله عليه وسلم يهل حتى تنبعث به راحلته".
Hum se Abdullah bin Yousuf ne bayan kiya, kaha hum ko Malik ne Sa’eed Al-Maqburi ke waaste se khabar di, woh Ubaidullah bin Juraij se naql karte hain ke unhon ne Abdullah bin Umar se kaha aye Abu Abdur Rahman! Main ne tumhein chaar aise kaam karte huwe dekha hai jinhein tumhaare saathiyon ko karte huwe nahi dekha. Woh kehne lage, aye Ibn-e-Juraij! Woh kya hain? Ibn-e-Juraij ne kaha ke main ne tawaaf ke waqt aap ko dekha ke do yamaani rukno ke siwa kisi aur rukn ko aap nahi chhoote ho. (Doosre) main ne aap ko basti joote pahne huwe dekha aur (teesre) main ne dekha ke aap zard rang iste’maal karte ho aur (chauthi baat) main ne yeh dekhi ke jab aap Makkah main the, log (Zul-Hijjah ka) chaand dekh kar Labbaik pukaarne lagte hain. (Aur) Hajj ka Ehraam baandh lete hain aur aap aathween tareekh tak Ehraam nahi baandhte. Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma ne jawaab diya ke (doosre) arkaan ko to main yun nahi chhoota ke main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko yamaani rukno ke alawah kisi aur rukn ko chhoote huwe nahi dekha aur rahe joote, to main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko aise joote pahne huwe dekha ke jin ke chamde par baal nahi the aur Aap unhien ko pahne pahne Wuzu farmaaya karte the, to main bhi unhien ko pahanna pasand karta hun aur zard rang ki baat yeh hai ke main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko zard rang rangte huwe dekha hai. To main bhi isi rang se rangna pasand karta hun aur Ehraam baandhne ka mu’aamla yeh hai ke main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko us waqt tak Ehraam baandhte huwe nahi dekha jab tak a Aap ki oontni Aap ko le kar na chal padti.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5851
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن سعيد المقبري، عن عبيد بن جريج، انه قال لعبد الله بن عمر رضي الله عنهما:" رايتك تصنع اربعا لم ار احدا من اصحابك يصنعها، قال:" ما هي يا ابن جريج؟ قال: رايتك لا تمس من الاركان إلا اليمانيين، ورايتك تلبس النعال السبتية، ورايتك تصبغ بالصفرة، ورايتك إذا كنت بمكة اهل الناس إذا راوا الهلال ولم تهل انت، حتى كان يوم التروية، فقال له عبد الله بن عمر: اما الاركان فإني لم ار رسول الله صلى الله عليه وسلم يمس إلا اليمانيين، واما النعال السبتية فإني رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يلبس النعال التي ليس فيها شعر ويتوضا فيها فانا احب ان البسها، واما الصفرة فإني رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يصبغ بها فانا احب ان اصبغ بها، واما الإهلال فإني لم ار رسول الله صلى الله عليه وسلم يهل حتى تنبعث به راحلته".
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne bayan kiya , in se Imam Malik ne , in se Muqbiri ne , in se Ubaid bin Jurayj ne ke unhon ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se arz kiya ke main Aap ko char aaisi cheezin karte dekhta hoon jo main ne Aap ke kisi saathi ko karte nahi dekha . Ibn Umar razi Allahu anhuma ne kaha: Ibn Jurayj! Woh kya cheezin hain ? Unhon ne kaha ke main ne Aap ko dekha hai ke Aap (Khana Kaba ke) kisi kone ko tawaf mein hath nahi lagate sirf do Arkan e Yamani (yani sirf Rukn e Yamani aur Hajar e Aswad) ko chhoote hain aur main ne Aap ko dekha hai ke Aap saaf zain ke chamre ka joota pehnte hain aur main ne Aap ko dekha ke Aap apna kapra zard rang se rangte hain ya zard khizhab lagate hain aur main ne Aap ko dekha ke jab Makkah mein hote hain to sab log to Zhul-Hijjah ka chaand dekh kar ihram baandh laite hain lekin Aap ihram nahi baandhte balkay Tarwiya ke din (8 Zhul-Hijjah ko) ko ihram baandhte hain . In se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne kaha ke Khana Kaba ke arkan ke mutalliq jo tum ne kaha to main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko hamesha sirf Hajar e Aswad aur Rukn e Yamani ko chhoote dekha . Saaf tari ke chamre ke jooton ke mutalliq jo tum ne poochha to main ne dekha hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam isi chamre ka joota pehnte thay jis mein baal nahi hote thay aur Aap is ko pehne huay wuzu karte thay is liye main bhi pasand karta hoon ke aisa hi joota istemal karoon . Zard rang ke mutalliq tum ne jo kaha hai to main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko is se khizhab karte ya kapre rangte dekha hai is liye main bhi is zard rang ko pasand karta hoon aur raha ihram baandhne ka masla to main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko dekha ke Aap isi waqt ihram baandhte jab oont par sawar ho kar jaane lagte .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة