الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب الاغتسال عند دخول مكة:
Bab: Makkah mein dakhil hote waqt ghusl karna
Show diacritics
Hadith Number: 1573
حدثني يعقوب بن إبراهيم، حدثنا ابن علية، اخبرنا ايوب، عن نافع، قال:" كان ابن عمر رضي الله عنهما إذا دخل ادنى الحرم امسك عن التلبية، ثم يبيت بذي طوى، ثم يصلي به الصبح , ويغتسل ويحدث ان نبي الله صلى الله عليه وسلم كان يفعل ذلك".
Hum se Yaqub bin Ibrahim ne byaan kiya , un se Ismail bin Alayyah ne byaan kiya , unhein Ayub Sakhtiyani ne khabar di , unhein Nafi ne , unhon ne byaan kiya ke jab Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma haram ki sarhad ke qareeb puhanchte to talbiya kehna band kar dete . Raat Di-Tuwa mein guzarte , subah ki namaaz wahin parhte aur ghusal karte (phir Makka mein dakhil hote) Aap byaan karte thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bhi isi tarah kiya karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1553
وقال ابو معمر , حدثنا عبد الوارث , حدثنا ايوب , عن نافع , قال: كان ابن عمر رضي الله عنهما إذا صلى بالغداة بذي الحليفة امر براحلته فرحلت , ثم ركب فإذا استوت به استقبل القبلة قائما , ثم يلبي حتى يبلغ الحرم , ثم يم سك حتى إذا جاء ذا طوى بات به حتى يصبح , فإذا صلى الغداة اغتسل , وزعم ان رسول الله صلى الله عليه وسلم فعل ذلك تابعه إسماعيل , عن ايوب في الغسل.
Aur Abu Mamar ne kaha ke hum se Abdul Waris ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ayub Sakhtiyani ne Nafi se byaan kiya , unhon ne kaha ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma jab Zul Hulaifah mein subah ki namaaz parh chuke to apni oontni par palan lagane ka hukm farmaya , sawari layi gayi to Aap is par sawar hue aur jab woh Aap ko le kar khari ho gayi to Aap khare ho kar qibla-ru ho gaye aur phir Labbaik kehna shuroo kiya ta-aanke haram mein dakhil ho gaye . Wahan puhanch kar Aap ne Labbaik kehna band kar diya . Phir Di-Tuwa mein tashreef la kar raat wahin guzarte subah hoti to namaaz parhte aur ghusal karte (phir Makka mein dakhil hote) Aap yaqeen ke saath yeh jaante thay ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne bhi isi tarah kiya tha . Abdul Waris ki tarah is hadees ko Ismail ne bhi Ayub se riwayat kiya . Is mein ghusal ka zikr hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة