الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب التمتع والإقران والإفراد بالحج، وفسخ الحج لمن لم يكن معه هدي:
Bab: Hajj mein tamattu qiran aur ifrad ka byan aur jis ke sath hadi na ho usay hajj faskh kar ke umrah bana dene ki ijazat hai
Show diacritics
Hadith Number: 1569
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا حجاج بن محمد الاعور، عن شعبة، عن عمرو بن مرة، عن سعيد بن المسيب، قال:" اختلف علي وعثمان رضي الله عنهما وهما بعسفان في المتعة، فقال علي: ما تريد إلا ان تنهى عن امر فعله النبي صلى الله عليه وسلم، فلما راى ذلك علي اهل بهما جميعا".
Hum se Qutaibah bin Saeed ne byaan kiya , kaha ke hum se Hajjaj bin Muhammad Awar ne byaan kiya , un se Shubah ne , un se Amru bin Murrah ne , un se Saeed bin Musayyab ne ke Uthman aur Ali razi Allahu anhuma Usfan aaye to in mein baaham tamattu ke silsile mein ikhtilaf hua to Ali razi Allahu anhu ne farmaya ke jis ko Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne kiya hai us se Aap kyun rok rahe hain ? Is par Uthman razi Allahu anhu ne farmaya ke mujhe apne haal par rehne do . Yeh dekh kar Ali razi Allahu anhu ne Hajj aur Umrah dono ka ahram ek saath baandha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1563
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن الحكم، عن علي بن حسين، عن مروان بن الحكم، قال:" شهدت عثمان، وعليا رضي الله عنهما، وعثمان ينهى عن المتعة وان يجمع بينهما، فلما راى علي اهل بهما لبيك بعمرة وحجة، قال: ما كنت لادع سنة النبي صلى الله عليه وسلم لقول احد".
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ghundar ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , un se Hakam ne , un se Ali bin Husain (Zain-ul-Abideen) ne aur un se Marwan bin Hakam ne byaan kiya ke Uthman aur Ali razi Allahu anhuma ko maine dekha hai . Uthman razi Allahu anhu Hajj aur Umrah ko ek saath ada karne se rokte thay lekin Ali razi Allahu anhu ne is ke bawajood dono ka ek saath ahram baandha aur kaha «labbaika bi-umratin wa-hajjatin» Aap ne farmaya tha ke main kisi ek shakhs ki baat par Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki hadees ko nahi chhor sakta .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة