الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب التمتع والإقران والإفراد بالحج، وفسخ الحج لمن لم يكن معه هدي:
Bab: Hajj mein tamattu qiran aur ifrad ka byan aur jis ke sath hadi na ho usay hajj faskh kar ke umrah bana dene ki ijazat hai
Hadith Number: 1567
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، اخبرنا ابو جمرة نصر بن عمران الضبعي، قال:" تمتعت، فنهاني ناس، فسالت ابن عباس رضي الله عنهما فامرني، فرايت في المنام كان رجلا يقول لي: حج مبرور وعمرة متقبلة، فاخبرت ابن عباس، فقال: سنة النبي صلى الله عليه وسلم، فقال لي: اقم عندي، فاجعل لك سهما من مالي، قال شعبة: فقلت: لم، فقال: للرؤيا التي رايت".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke hum se Abu Jamrah Nasr bin Imran Dabayee ne byaan kiya , unhon ne kaha ke maine Hajj aur Umrah ka ek saath ahram baandha to kuch logon ne mujhe mana kiya . Is liye maine Ibn Abbas razi Allahu anhuma se is ke mutalliq daryaft kiya . Aap ne tamattu karne ke liye kaha . Phir maine ek shakhs ko dekha ke mujh se keh raha hai ”Hajj bhi mabroor hua aur Umrah bhi qabool hua“ maine yeh khwab Ibn Abbas razi Allahu anhuma ko sunaya , to Aap ne farmaya ke yeh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki sunnat hai . Phir Aap ne farmaya ke mere yahan qiyam kar , main apne paas se tumhare liye kuch muqarrar kar ke diya karoon ga . Shubah ne byaan kiya ke maine (Abu Jamrah se) poocha ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne yeh kyun kiya tha ? (Yani maal kis baat par dene ke liye kaha) unhon ne byaan kiya ke isi khwab ki wajah se jo maine dekha tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1688
حدثنا إسحاق بن منصور، اخبرنا النضر، اخبرنا شعبة، حدثنا ابو جمرة، قال:" سالت ابن عباس رضي الله عنهما عن المتعة، فامرني بها، وسالته عن الهدي، فقال: فيها جزور او بقرة او شاة او شرك في دم، قال: وكان ناسا كرهوها فنمت، فرايت في المنام كان إنسانا ينادي حج مبرور ومتعة متقبلة، فاتيت ابن عباس رضي الله عنهما فحدثته، فقال: الله اكبر، سنة ابي القاسم صلى الله عليه وسلم"، قال: وقال آدم ووهب بن جرير وغندر: عن شعبة، عمرة متقبلة وحج مبرور".
Hum se Ishaq Bin Mansoor ne bayan kiya, unhein Nazr Bin Shumail ne khabar di, unhein Shuba ne khabar di, un se Abu Jamrah ne bayan kiya, kaha ke mein ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se Tamattu ke bare mein poocha to aap ne mujhe is ke karne ka hukum diya, phir mein ne qurbani ke mutaliq poocha to aap ne farmaya ke Tamattu mein ek ont, ya ek gaye ya ek bakri (ki qurbani wajib hai) ya kisi qurbani (ont, ya gaye bhains ki) mein shareek ho jaye, Abu Jamrah ne kaha ke baaz log Tamattu ko napasandida qarar dete thay. Phir mein soya to mein ne khwab mein dekha ke ek shakhs pukar raha hai ye Haj-e-Mabroor hai aur ye maqbool Tamattu hai. Ab mein Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ki khidmat mein hazir hua aur un se khwab ka zikr kiya to unhon ne farmaya: Allah-u-Akbar! Ye to Abul Qasim (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki sunnat hai. Kaha ke Wahb Bin Jarir aur Ghundar ne Shuba ke hawala se yun naqal kiya hai «Umratun Mutaqabbalah, Wa Hajun Mabroor» (Is mein Umrah ka zikr pehle hai yani ye Umrah maqbool aur Haj mabroor hai)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة