الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحج
Kitab: Hajj ke masail ka bayan
باب قول النبى صلى الله عليه وسلم: العقيق واد مبارك :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka irshaad ke wadi Aqiq mubarak wadi hai.
Hadith Number: 1535
حدثنا محمد بن ابي بكر، حدثنا فضيل بن سليمان، حدثنا موسى بن عقبة، قال: حدثني سالم بن عبد الله، عن ابيه رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم،" انه رئي وهو في معرس بذي الحليفة ببطن الوادي، قيل له: إنك ببطحاء مباركة، وقد اناخ بنا سالم يتوخى بالمناخ الذي كان عبد الله ينيخ يتحرى معرس رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو اسفل من المسجد الذي ببطن الوادي بينهم , وبين الطريق وسط من ذلك".
Hum se Muhammad bin Abi Bakr Muqaddami ne byaan kiya , kaha ke hum se Fadhail bin Sulayman ne byaan kiya , kaha ke hum se Musa bin Uqbah ne byaan kiya , kaha ke hum se Salim bin Abdullah bin Umar ne byaan kiya aur un se in ke walid ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hawala se ke Muarris ke qareeb Zul Hulaifah ki batan-e-wadi (Wadi-e-Aqeeq) mein Aap salla Allahu alaihi wasallam ko khwab dikhaya gaya . (Jis mein) Aap salla Allahu alaihi wasallam se kaha gaya tha ke Aap is waqt ”Batha-e-Mubaraka“ mein hain . Musa bin Uqbah ne kaha ke Salim ne hum ko bhi wahan thehraya woh is maqam ko dhoond rahe thay jahan Abdullah oont bithaya karte thay yani jahan Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam raat ko utra karte thay . Woh maqam is masjid ke neeche ki taraf mein hai jo naale ke nasheeb mein hai . Utarne walon aur raste ke beechon beech (Wadi-e-Aqeeq Madina se chaar meel Baqi ki jaanib hai) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 483
حدثنا محمد بن ابي بكر المقدمي، قال: حدثنا فضيل بن سليمان، قال: حدثنا موسى بن عقبة، قال:" رايت سالم بن عبد الله يتحرى اماكن من الطريق فيصلي فيها، ويحدث ان اباه كان يصلي فيها، وانه راى النبي صلى الله عليه وسلم يصلي في تلك الامكنة"، وحدثني نافع، عن ابن عمر، انه كان يصلي في تلك الامكنة، وسالت سالما فلا اعلمه إلا وافق نافعا في الامكنة كلها، إلا انهما اختلفا في مسجد بشرف الروحاء.
Hum se Muhammad bin Abi Bakr Muqaddami ne bayan kiya kaha hum se Fudail bin Sulaiman ne , kaha hum se Moosa bin Uqba ne , kaha mein ne Salim bin Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma ko dekha ke woh Madina se Makka tak raste mein kai jagahon ko dhondh kar wahan namaz parhte aur kehte ke un ke walid Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma bhi un maqamat par namaz parha karte thay . Aur unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ko un maqamat par namaz parhte hue dekha hai aur Moosa bin Uqba ne kaha ke mujh se Nafi ne Ibn Umar raziyallahu anhuma ke mutalliq bayan kiya ke woh un maqamat par namaz parha karte thay . Aur mein ne Salim se poocha to mujhe khoob yaad hai ke unhon ne bhi Nafi ke bayan ke mutabiq hi tamam maqamat ka zikr kiya . Faqat maqam Sharaf Ruha ki masjid ke mutalliq dono ne ikhtilaf kiya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة