الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الزكاة
Kitab: Zakat ke masail ka bayan
باب قول الله تعالى: {لا يسألون الناس إلحافا} وكم الغنى:
(Surat Al-Baqarah mein) Allah Taala ka irshaad ke "jo logon se chimat kar nahin maangte" aur kitne maal se aadmi maaldar kehlata hai.
Show diacritics
Hadith Number: 1476
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا شعبة، اخبرني محمد بن زياد، قال: سمعت ابا هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ليس المسكين الذي ترده الاكلة والاكلتان، ولكن المسكين الذي ليس له غنى ويستحيي او لا يسال الناس إلحافا".
Hum se Hajjaj bin Minhal ne byaan kiya . Unhon ne kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya . Unhon ne kaha ke mujhe Muhammad bin Ziyad ne khabar di unhon ne kaha ke maine Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya miskeen woh nahi jisay ek do luqme dar dar phiraayein . Miskeen to woh hai jis ke paas maal nahi . Lekin usay sawal se sharam aati hai aur woh logon se chimat kar nahi mangta (miskeen woh jo kamaye magar baqadar-e-zaroorat na pa sake) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1479
حدثنا إسماعيل بن عبد الله، قال: حدثني مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم , قال:" ليس المسكين الذي يطوف على الناس ترده اللقمة واللقمتان والتمرة والتمرتان، ولكن المسكين الذي لا يجد غنى يغنيه ولا يفطن به فيتصدق عليه ولا يقوم فيسال الناس".
Hum se Ismail bin Abdullah ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se Imam Malik rahmatullah alaihi ne Abul Zinad se byaan kiya ‘ un se Aaraj ne ‘ aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya miskeen woh nahi hai jo logon ka chakkar kaatta phirta hai taake usay do ek luqma ya do ek khajoor mil jayein . Balke asli miskeen woh hai jis ke paas itna maal nahi ke woh is ke zariya se be-parwah ho jaye . Is haal mein bhi kisi ko maloom nahi ke koi usay sadqa hi dede aur na woh khud haath phailane ke liye uthta hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4539
حدثنا ابن ابي مريم , حدثنا محمد بن جعفر , قال: حدثني شريك بن ابي نمر , ان عطاء بن يسار , وعبد الرحمن بن ابي عمرة الانصاري , قالا: سمعنا ابا هريرة رضي الله عنه , يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ليس المسكين الذي ترده التمرة والتمرتان , ولا اللقمة ولا اللقمتان , إنما المسكين الذي يتعفف , واقرءوا إن شئتم"، يعني قوله لا يسالون الناس إلحافا سورة البقرة آية 273.
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Muhammad bin Jafar ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Shareek bin Abi Namr ne byaan kiya , un se Ata bin Yasar aur Abdur Rahman bin Abi Amrah Ansari ne byaan kiya aur unhon ne kaha hum ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Miskeen woh nahi hai jise ek ya do khajoor , ek ya do luqme dar ba dar liye phirein , balkay miskeen woh hai jo maangne se bachta rahe aur agar tum daleel chaho to (Quran se) is aayat ko parh lo «la yas'aloona-naasa ilhaafan» ke ”woh logon se chimat kar nahi maangte .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة