الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجنائز
Kitab: Janaze ke ahkam o masail
باب ما جاء فى عذاب القبر:
Azaab qabr ka bayaan.
Hadith Number: 1374
حدثنا عياش بن الوليد، حدثنا عبد الاعلى، حدثنا سعيد، عن قتادة، عن انس بن مالك رضي الله عنه، انه حدثهم ان رسول الله صلى الله عليه وسلم , قال:" إن العبد إذا وضع في قبره وتولى عنه اصحابه وإنه ليسمع قرع نعالهم، اتاه ملكان فيقعدانه فيقولان: ما كنت تقول في هذا الرجل لمحمد صلى الله عليه وسلم؟ فاما المؤمن فيقول: اشهد انه عبد الله ورسوله، فيقال له: انظر إلى مقعدك من النار قد ابدلك الله به مقعدا من الجنة فيراهما جميعا، قال قتادة: وذكر لنا انه يفسح له في قبره، ثم رجع إلى حديث انس , قال: واما المنافق والكافر فيقال له: ما كنت تقول في هذا الرجل؟ فيقول: لا ادري، كنت اقول ما يقول الناس، فيقال: لا دريت ولا تليت ويضرب بمطارق من حديد ضربة، فيصيح صيحة يسمعها من يليه غير الثقلين".
Hum se Ayash bin Waleed ne byaan kiya ‘ kaha hum se Abdul Ala ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Saeed ne byaan kiya ‘ un se Qatadah ne aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke aadmi jab apni qabr mein rakkha jata hai aur janaza mein shareek hone wale log is se rukhsat hote hain to abhi woh un ke jooton ki awaaz sunta hota hai ke do farishte (Munkar Nakeer) is ke paas aate hain ‘ woh ise bitha kar poochte hain ke is shakhs yani Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ke baare mein tu kya aeteqad rakhta tha ? Momin to yeh kahe ga ke main gawahi deta hoon ke Aap salla Allahu alaihi wasallam Allah ke bande aur us ke Rasool hain . Is jawab par is se kaha jaye ga ke tu yeh dekh apna Jahannam ka thikana lekin Allah Ta'ala ne is ke badla mein tumhare liye Jannat mein thikana de diya . Is waqt ise Jahannam aur Jannat donon thikane dikhayi jayein ge . Qatadah ne byaan kiya ke is ki qabr khoob kushada kar di jaye gi . (jis se aaram o rahat mile) Phir Qatadah ne Anas razi Allahu anhu ki hadees byaan karni shuru ki ‘ farmaya aur munafiq o kafir se jab kaha jaye ga ke is shakhs ke baare mein tu kya kehta tha to woh jawab de ga ke mujhe kuch maloom nahin ‘ main bhi wahi kehta tha jo doosre log kehte thay . Phir is se kaha jaye ga na tu ne jaanne ki koshish ki aur na samajhne walon ki raaye par chala . Phir ise lohay ke gurzoon se bari zor se maara jaye ga ke woh cheekh pare ga aur is ki cheekh ko jinn aur insaanon ke siwa is ke aas paas ki tamam makhlooq sune gi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1338
حدثنا عياش، حدثنا عبد الاعلى، حدثنا سعيد , قال: وقال لي خليفة، حدثنا يزيد بن زريع , حدثنا سعيد، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه , عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" العبد إذا وضع في قبره , وتولي , وذهب اصحابه حتى إنه ليسمع قرع نعالهم، اتاه ملكان فاقعداه , فيقولان له: ما كنت تقول في هذا الرجل محمد صلى الله عليه وسلم؟ فيقول: اشهد انه عبد الله ورسوله، فيقال: انظر إلى مقعدك من النار ابدلك الله به مقعدا من الجنة، قال النبي صلى الله عليه وسلم: فيراهما جميعا، واما الكافر او المنافق , فيقول: لا ادري كنت اقول ما يقول الناس، فيقال: لا دريت ولا تليت، ثم يضرب بمطرقة من حديد ضربة بين اذنيه فيصيح صيحة يسمعها من يليه إلا الثقلين".
Hum se Ayash bin Waleed ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abdul Ala ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Saeed bin Abi Arubah ne byaan kiya . (Doosri sanad) Imam Bukhari rahimahullah ne kaha ke mujh se Khaleefa bin Khayyat ne byaan kiya ‘ un se Yazid bin Zuray ne ‘ un se Saeed bin Abi Arubah ne ‘ un se Qatadah ne aur un se Anas razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke aadmi jab qabr mein rakkha jata hai aur dafan kar ke is ke log peeth mor kar rukhsat hote hain to woh un ke jooton ki awaaz sunta hai . Phir do farishte aate hain ise bithate hain aur poochte hain ke is shakhs (Muhammad salla Allahu alaihi wasallam) ke mutaliq tumhara kya aeteqad hai ? Woh jawab deta hai ke main gawahi deta hoon ke woh Allah ke bande aur us ke Rasool hain . Is jawab par is se kaha jata hai ke yeh dekh Jahannam ka apna ek thikana lekin Allah Ta'ala ne Jannat mein tere liye ek makaan is ke badle mein bana diya hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir is banda-e-momin ko Jannat aur Jahannam donon dikhayi jaati hain aur raha kafir ya munafiq to is ka jawab yeh hota hai ke mujhe maloom nahin ‘ main ne logon ko ek baat kehte suna tha wahi main bhi kehta raha . Phir is se kaha jata hai ke na tu ne kuch samjha aur na (achhe logon ki) pairwi ki . Is ke baad ise ek lohay ke hathaure se bare zor se maara jata hai aur woh itne bhayanak tareeqe se cheekhta hai ke insaan aur jinn ke siwa ardgard ki tamam makhlooq sunti hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة