الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوضوء
Kitab: Wuzu ke bayan mein
باب لا يتوضأ من الشك حتى يستيقن:
Bab: Is bare mein ke jab tak wudu tootne ka poora yaqeen na ho mahaz shak ki wajah se naya wudu na kare.
Hadith Number: 137
حدثنا علي بن عبد الله، قال: حدثنا سفيان، قال: حدثنا الزهري، عن سعيد بن المسيب. ح وعن عباد بن تميم، عن عمه، انه شكا إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم الرجل الذي يخيل إليه انه يجد الشيء في الصلاة، فقال:" لا ينفتل او لا ينصرف حتى يسمع صوتا او يجد ريحا".
Hum se ’Ali ne bayan kiya, un se Sufyan ne, un se Zohri ne Sa’eed bin Al-Musayyab ke waaste se naql kiya, woh ’Abbad bin Tameem se riwayat karte hain, woh apne chacha (Abdullah bin Zaid) se riwayat karte hain ke unhon ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se shikaayat ki ke ek shakhs hai jise yeh khayaal hota hai ke Namaz mein koi cheez (yani hawa nikalti) ma’loom hue hai. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke (Namaz se) na phire ya na mude, jab tak aawaaz na sune ya bu na paaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 177
حدثنا ابو الوليد، قال: حدثنا بن عيينة، عن الزهري، عن عباد بن تميم، عن عمه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا ينصرف حتى يسمع صوتا او يجد ريحا".
Hum se Abul Waleed ne bayan kiya, kaha hum se Ibn-e-’Uyainah ne, woh Zohri se, woh Abbad bin Tameen se, woh apne chacha se, woh Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat karte hain ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke (Namazi Namaz se) us waqt tak na phire jab tak (reeh ki) aawaaz na sun le ya us ki bu na paa le.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2056
حدثنا ابو نعيم، حدثنا ابن عيينة، عن الزهري، عن عباد بن تميم، عن عمه، قال:" شكي إلى النبي صلى الله عليه وسلم، الرجل يجد في الصلاة شيئا، ايقطع الصلاة؟ قال: لا، حتى يسمع صوتا او يجد ريحا"، وقال ابن ابي حفصة: عن الزهري: لا وضوء إلا فيما وجدت الريح، او سمعت الصوت.
Hum se Abu Nuaim Fazal Bin Dukain ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya, un se Zuhri ne, un se Abbad Bin Tamim ne aur un se un ke chacha Abdullah Bin Zaid Mazni (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke samne ek aise shakhs ka zikr aaya jisay namaz mein kuch shubha hawa nikalne ka ho jata hai. Aaya usay namaz torr deni chahiye ? Farmaya ke nahi. Jab tak wo awaz na sun le ya badbu na mehsoos kar le (is waqt tak namaz na torre) Ibn Abi Hafsa ne Zuhri se bayan kiya (aise shakhs par) wuzu wajib nahi jab tak hadas ki badbu na mehsoos kare ya awaz na sun le
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة