الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجنائز
Kitab: Janaze ke ahkam o masail
باب إذا أسلم الصبي فمات هل يصلى عليه وهل يعرض على الصبي الإسلام:
Ek bacha Islam laya phir us ka intiqaal ho gaya, to kya us ki namaz janaza parhi jaayegi? Aur kya bache ke saamne Islam ki dawat pesh ki ja sakti hai?
Show diacritics
Hadith Number: 1357
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان , قال: قال عبيد الله بن ابي يزيد، سمعت ابن عباس رضي الله عنهما , يقول:" كنت انا , وامي من المستضعفين، انا من الولدان، وامي من النساء".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke Ubaydullah bin Ziyad ne byaan kiya ke main ne Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ko yeh kehte suna tha ke main aur meri waalida (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki hijrat ke baad Makkah mein) kamzor Musalmanon mein se thay . Main bachon mein aur meri waalida auraton mein .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4587
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا سفيان، عن عبيد الله، قال: سمعت ابن عباس، قال:" كنت انا وامي من المستضعفين من الرجال والنساء".
Hum se Abdullah bin Muhammad ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan ne byaan kiya , un se Ubaydullah ne byaan kiya ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna , unhon ne kaha ke main aur meri walda «mustadafeena» (kamzoron) mein se thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4588
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن ابن ابي مليكة، ان ابن عباس تلا: إلا المستضعفين من الرجال والنساء والولدان سورة النساء آية 98، قال:" كنت انا وامي ممن عذر الله". ويذكر عن ابن عباس: حصرت: ضاقت، تلووا: السنتكم بالشهادة، وقال غيره:" المراغم المهاجر راغمت هاجرت قومي موقوتا: موقتا وقته عليهم".
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , kaha hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , un se Ayub ne , un se Ibn Abi Mulaykah ne ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne aayat «illa-lmustadafeena minar-rijali wan-nisa'i wal wildani» ki tilawat ki aur farmaya ke main aur meri walda bhi in logon mein se thien , jinhein Allah Ta'ala ne mazoor rakkha tha . Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma se riwayat hai ke «hasirat» maani mein «dhaqat» ke hai . «talwoo» yani tumhari zabanon se gawahi ada ho gi . Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ke siwa doosre shakhs (Abu Ubaydah razi Allahu anhu) ne kaha «muraghaman» ka maani Hijrat ka maqam . Arab log kehte hain «raghamtu qaumi» . Yani main ne apni qaum walon ko jama kar diya . «mauqootan» ke maani ek waqt muqarrara par yani jo waqt un ke liye muqarrar ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4597
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد، عن ايوب، عن ابن ابي مليكة، عن ابن عباس رضي الله عنهما: إلا المستضعفين سورة النساء آية 98، قال:" كانت امي ممن عذر الله".
Hum se Abu al-Nu'man ne byaan kiya , kaha hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , un se Ayub Sakhtiyani ne , un se Abdullah bin Abi Mulaykah ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne «illa-lmustadafeena» ke mutalliq farmaya ke meri maan bhi in hi logon mein thien jinhein Allah ne mazoor rakkha tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة