الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجنائز
Kitab: Janaze ke ahkam o masail
باب فضل اتباع الجنائز:
Bab: Janazah ke sath janay ki fazeelat.
Show diacritics
Hadith Number: 1324
فصدقت يعني عائشة ابا هريرة وقالت: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقوله"، فقال ابن عمر رضي الله عنهما: لقد فرطنا في قراريط كثيرة فرطت ضيعت من امر الله.
Phir Abu Hurairah razi Allahu anhu ki Aisha razi Allahu anha ne bhi tasdeeq ki aur farmaya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se yeh irshad khud suna hai . Is par Ibn Umar razi Allahu anhuma ne kaha ke phir to hum ne bohat se qiraaton ka nuqsan uthaya . (Surah az-Zumar mein jo lafz) «farrattu» aaya hai is ke yehi maani hain main ne zaya kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 47
حدثنا احمد بن عبد الله بن علي المنجوفي، قال: حدثنا روح، قال: حدثنا عوف، عن الحسن، ومحمد، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" من اتبع جنازة مسلم إيمانا واحتسابا وكان معه حتى يصلى عليها ويفرغ من دفنها، فإنه يرجع من الاجر بقيراطين كل قيراط مثل احد، ومن صلى عليها ثم رجع قبل ان تدفن، فإنه يرجع بقيراط"، تابعه عثمان المؤذن، قال: حدثنا عوف، عن محمد، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم نحوه.
Hum se Ahmad bin Abdullah bin ’Ali Manjooni ne bayan kiya, kaha hum se Rooh ne bayan kiya, kaha hum se ’Awf ne bayan kiya, unhon ne Hasan Basri aur Muhammed bin Sireen se, unhon ne Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya, jo koi imaan rakh kar aur sawab ki niyyat se kisi musalmaan ke janaaze ke saath jaaye aur Namaz aur dafan se faraghat hone tak us ke saath rahe to woh do Qiraat sawab le kar lautega har Qiraat itna bada hoga jaise Uhud ka pahaad, aur jo shakhs janaaze par Namaz padh kar dafan se pehle laut jaaye to woh ek Qiraat sawab le kar lautega. Rooh ke saath is Hadees ko Uthman Mu’azzin ne bhi riwayat kiya hai. Kaha hum se ’Awf ne bayan kiya, unhon ne Muhammed bin Sireen se suna, unhon ne Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se, unhon ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se agli riwayat ki tarah.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1325
حدثنا عبد الله بن مسلمة , قال: قرات على ابن ابي ذئب، عن سعيد بن ابي سعيد المقبري، عن ابيه، انه سال ابا هريرة رضي الله عنه , فقال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، حدثنا احمد بن شبيب بن سعيد , قال: حدثني ابي، حدثنا يونس , قال ابن شهاب: وحدثني عبد الرحمن الاعرج، ان ابا هريرة رضي الله عنه , قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من شهد الجنازة حتى يصلي فله قيراط، ومن شهد حتى تدفن كان له قيراطان" , قيل: وما القيراطان؟ , قال: مثل الجبلين العظيمين.
Hum se Abdullah bin Maslamah ne byaan kiya ‘ kaha ke main ne Ibn Abi Zi'b ke saamne yeh hadees parhi ‘ un se Abu Saeed Maqburi ne byaan kiya ‘ un se un ke baap ne ‘ unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se poocha to Aap ne farmaya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna tha . (Doosri sanad) Hum se Ahmad bin Shabib ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se mere waalid ne byaan kiya ‘ un se Yunus ne byaan kiya ke Ibn Shihab ne kaha ke (mujh se falan ne yeh bhi hadees byaan ki) aur mujh se Abdur Rahman Aaraj ne bhi kaha ke Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ne janaza mein shirkat ki phir namaaz-e-janaza parhi to ise ek qiraat ka thawab milta hai aur jo dafan tak saath raha to ise do qiraat ka thawab milta hai . Poocha gaya ke do qiraat kitne hon ge ? Farmaya ke do azeem paharon ke barabar .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة