الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجنائز
Kitab: Janaze ke ahkam o masail
باب فضل اتباع الجنائز:
Bab: Janazah ke sath janay ki fazeelat.
Hadith Number: 1323
حدثنا ابو النعمان، حدثنا جرير بن حازم , قال: سمعت نافعا , يقول: حدث ابن عمر، ان ابا هريرة رضي الله عنهم , يقول: من تبع جنازة فله قيراط، فقال: اكثر ابو هريرة علينا.
Hum se Abu al-Numan ne byaan kiya ‘ un se Jarir bin Hazim ne byaan kiya ‘ kaha ke main ne Nafi se suna ‘ Aap ne byaan kiya ke Ibn Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke jo dafan tak janaza ke saath rahe ise ek qiraat ka thawab mile ga . Ibn Umar razi Allahu anhuma ne farmaya ke Abu Hurairah ahadees bohat zyada byaan karte hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 47
حدثنا احمد بن عبد الله بن علي المنجوفي، قال: حدثنا روح، قال: حدثنا عوف، عن الحسن، ومحمد، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" من اتبع جنازة مسلم إيمانا واحتسابا وكان معه حتى يصلى عليها ويفرغ من دفنها، فإنه يرجع من الاجر بقيراطين كل قيراط مثل احد، ومن صلى عليها ثم رجع قبل ان تدفن، فإنه يرجع بقيراط"، تابعه عثمان المؤذن، قال: حدثنا عوف، عن محمد، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم نحوه.
Hum se Ahmad bin Abdullah bin ’Ali Manjooni ne bayan kiya, kaha hum se Rooh ne bayan kiya, kaha hum se ’Awf ne bayan kiya, unhon ne Hasan Basri aur Muhammed bin Sireen se, unhon ne Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya, jo koi imaan rakh kar aur sawab ki niyyat se kisi musalmaan ke janaaze ke saath jaaye aur Namaz aur dafan se faraghat hone tak us ke saath rahe to woh do Qiraat sawab le kar lautega har Qiraat itna bada hoga jaise Uhud ka pahaad, aur jo shakhs janaaze par Namaz padh kar dafan se pehle laut jaaye to woh ek Qiraat sawab le kar lautega. Rooh ke saath is Hadees ko Uthman Mu’azzin ne bhi riwayat kiya hai. Kaha hum se ’Awf ne bayan kiya, unhon ne Muhammed bin Sireen se suna, unhon ne Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se, unhon ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se agli riwayat ki tarah.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة