الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجنائز
Kitab: Janaze ke ahkam o masail
باب الكفن من جميع المال:
Bab: Kafan ki tayyari mayyit ke saare maal mein se karna chahiye.
Hadith Number: 1274
حدثنا احمد بن محمد المكي، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن سعد، عن ابيه , قال:" اتي عبد الرحمن بن عوف رضي الله عنه يوما بطعامه , فقال: قتل مصعب بن عمير وكان خيرا مني فلم يوجد له ما يكفن فيه إلا بردة، وقتل حمزة او رجل آخر خير مني فلم يوجد له ما يكفن فيه إلا بردة، لقد خشيت ان يكون قد عجلت لنا طيباتنا في حياتنا الدنيا، ثم جعل يبكي".
Hum se Ahmad bin Muhammad Makki ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Ibrahim bin Saad ne ‘ un se un ke baap Saad ne aur un se un ke waalid Ibrahim bin Abdur Rahman ne byaan kiya ke Abdur Rahman bin Awf razi Allahu anhu ke saamne ek din khana rakkha gaya to unhon ne farmaya ke Musab bin Umair razi Allahu anhu (Ghazwa-e-Uhud mein) shaheed huay ‘ woh mujh se afzal thay . Lekin un ke kafan ke liye ek chadar ke siwa aur koi cheez muhayya na ho saki . Isi tarah jab Hamza razi Allahu anhu shaheed huay ya kisi doosre sahabi ka naam liya ‘ woh bhi mujh se afzal thay . Lekin un ke kafan ke liye bhi sirf ek hi chadar mil saki . Mujhe to dar lagta hai ke kahin aisa na ho ke hamare chain aur aaram ke saman hum ko jaldi se dunya hi mein de diye gaye hon phir woh rone lage .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1275
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا شعبة، عن سعد بن إبراهيم، عن ابيه إبراهيم،" ان عبد الرحمن بن عوف رضي الله عنه اتي بطعام وكان صائما , فقال: قتل مصعب بن عمير وهو خير مني كفن في بردة إن غطي راسه بدت رجلاه وإن غطي رجلاه بدا راسه، واراه قال: وقتل حمزة وهو خير مني ثم بسط لنا من الدنيا ما بسط او , قال: اعطينا من الدنيا ما اعطينا وقد خشينا ان تكون حسناتنا عجلت لنا، ثم جعل يبكي حتى ترك الطعام".
Hum se Muhammad bin Muqatil ne byaan kiya ‘ kaha ke hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di ‘ kaha ke hum ko Shubah ne khabar di ‘ unhein Saad bin Ibrahim ne ‘ unhein un ke baap Ibrahim bin Abdur Rahman ne ke Abdur Rahman bin Awf razi Allahu anhu ke saamne khana hazir kiya gaya . Woh roza se thay is waqt unhon ne farmaya ke haye! Musab bin Umair razi Allahu anhu shaheed kiye gaye ‘ woh mujh se behtar thay . Lekin un ke kafan ke liye sirf ek chadar muyassar aa saki ke agar is se un ka sar dhaanka jata to paon khul jaate aur paon dhaanke jaate to sar khul jata aur main samajhta hoon ke unhon ne yeh bhi farmaya aur Hamza razi Allahu anhu bhi (isi tarah) shaheed huay woh bhi mujh se achhe thay . Phir un ke baad dunya ki kushadagi hamare liye khoob hui ya yeh farmaya ke dunya humein bohat di gayi aur humein to is ka dar lagta hai ke kahin aisa na ho ke hamari nekiyon ka badla isi dunya mein hum ko mil gaya ho phir Aap is tarah rone lage ke khana bhi chhor diya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4045
حدثنا عبدان , حدثنا عبد الله , اخبرنا شعبة , عن سعد بن إبراهيم , عن ابيه إبراهيم , ان عبد الرحمن بن عوف اتي بطعام وكان صائما , فقال: قتل مصعب بن عمير وهو خير مني , كفن في بردة إن غطي راسه بدت رجلاه , وإن غطي رجلاه بدا راسه , واراه قال: وقتل حمزة وهو خير مني ثم بسط لنا من الدنيا ما بسط , او قال اعطينا من الدنيا ما اعطينا وقد خشينا ان تكون حسناتنا عجلت لنا , ثم جعل يبكي حتى ترك الطعام.
Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah ne bayan kiya, kaha hum ko Shuba ne khabar di, unhein Saad Bin Ibrahim ne, un se in ke walid Ibrahim ne ke (in ke walid) Abdur Rahman Bin Auf Radi Allahu Anhu ke pas khana laya gaya. Aur wo roze se thay to unhon ne kaha, Musab Bin Umair Radi Allahu Anhu (Uhud ki jung mein) shaheed kar diye gaye, wo mujh se afzal aur behtar thay lekin unhein jis chadar ka kafan diya gaya (wo itni chhoti thi ke) agar is se in ka sar chupaya jata to paon khul jate aur paon chupaye jate to sar khul jata tha. Mera khayal hai ke unhon ne kaha aur Hamza Radi Allahu Anhu bhi (isi jung mein) shaheed kiye gaye, wo mujh se behtar aur afzal thay. Phir jaisa ke tum dekh rahe ho, hamare liye duniya mein kushadagi di gayi ya unhon ne ye kaha ke phir jaisa ke tum dekhte ho, humein duniya di gayi, humein to is ka darr hai ke kahin yahi hamari nekyon ka badla na ho jo isi duniya mein humein diya ja raha hai. Is ke baad Aap roye ke khana na kha sake
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة