الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجنائز
Kitab: Janaze ke ahkam o masail
باب نقض شعر المرأة:
Bab: Mayyit aurat ho to ghusl ke waqt us ke baal kholna.
Hadith Number: 1260
حدثنا احمد، حدثنا عبد الله بن وهب، اخبرنا ابن جريج، قال ايوب: وسمعت حفصة بنت سيرين , قالت: حدثتنا ام عطية رضي الله عنها" انهن جعلن راس بنت رسول الله صلى الله عليه وسلم ثلاثة قرون نقضنه، ثم غسلنه، ثم جعلنه ثلاثة قرون".
Hum se Ahmad bin Salih ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdullah bin Wahb ne byaan kiya unhein Ibn Jurayj ne khabar di , un se Ayub ne byaan kiya ke main ne Hafsa bint Sirin se suna , unhon ne kaha ke Umm Atiya razi Allahu anha ne hum se byaan kiya ke unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki saahibzadi ke baalon ko teen latton mein taqseem kar diya tha . Pehle baal khole gaye phir unhein dho kar un ki teen chotiyaan kar di gayein .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 167
حدثنا مسدد، قال: حدثنا إسماعيل، قال: حدثنا خالد، عن حفصة بنت سيرين، عن ام عطية، قالت: قال النبي صلى الله عليه وسلم لهن في غسل ابنته:" ابدان بميامنها ومواضع الوضوء منها".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, un se Ismail ne, un se Khalid ne Hafsa bint-e-Sireen ke waaste se naql kiya, woh Umm-e-Atiyyah se riwayat karti hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apni (marhooma) sahebzaadi (Zainab Radhiallahu Anha) ko ghusl dene ke waqt farmaaya tha ke ghusl daahni taraf se do, aur aazaa-e-Wuzu se ghusl ki ibtida karo.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة