الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجنائز
Kitab: Janaze ke ahkam o masail
باب فى الجنائز، ومن كان آخر كلامه لا إله إلا الله:
Bab: Janazon ke bab mein jo hadeesen aayi hain un ka bayan aur jis shakhs ka aakhri kalam La ilaha illallah ho, us ka bayan.
Hadith Number: 1238
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا شقيق، عن عبد الله رضي الله عنه , قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من مات يشرك بالله شيئا دخل النار" , وقلت انا: من مات لا يشرك بالله شيئا دخل الجنة.
Hum se Umar bin Hafs ne byaan kiya , kaha ke hum se mere baap Hafs bin Ghiyath ne byaan kiya , kaha ke hum se Amash ne byaan kiya , kaha ke hum se Shaqiq bin Salamah ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Masood ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shakhs is haalat mein mare ke kisi ko Allah ka shareek thehrata tha to woh Jahannam mein jaye ga aur main yeh kehta hoon ke jo is haal mein mara ke Allah ka koi shareek na thehrata ho woh Jannat mein jaye ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4497
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش , عن شقيق , عن عبد الله , قال النبي صلى الله عليه وسلم كلمة، وقلت اخرى، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من مات وهو يدعو من دون الله ندا دخل النار" , وقلت: انا من مات وهو لا يدعو لله ندا دخل الجنة.
Hum se Abdan ne bayan kiya , un se Abu Hamza ne , un se Aamash ne , un se Shaqiq ne aur un se Abdullah rz ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne ek kalma irshad farmaya aur main ne ek aur baat kahi . Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke jo shakhs is halat mein mar jaye ke woh Allah ke siwa auron ko bhi us ka shareek thehrata raha ho to woh Jahannum mein jata hai aur main ne yun kaha ke jo shakhs is halat mein mare ke Allah ka kisi ko shareek na thehrata raha to woh Jannat mein jata hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6683
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد الواحد، حدثنا الاعمش، عن شقيق، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: كلمة، وقلت اخرى:" من مات يجعل لله ندا ادخل النار"، وقلت اخرى: من مات لا يجعل لله ندا ادخل الجنة.
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Wahid ne bayan kiya, kaha hum se Aamash ne bayan kiya, in se Shaqeeq ne aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”aur main ne (isi par qiyas karte huay) doosra kalma kaha (ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke) jo shakhs is haal mein mar jaye ga ke Allah ke saath kisi ko shareek thehrata ho ga to woh jahannum mein jaye ga.“ Aur main ne doosri baat kahi ke jo shakhs is haal mein mar jaye ga ke Allah ke saath kisi ko shareek na thehrata ho ga woh jannat mein jaye ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة