الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضل الصلاة
Kitab: Makkah o Madinah mein namaz ki fazeelat
باب فضل الصلاة فى مسجد مكة والمدينة:
Bab: Makkah aur Madinah ki masajid mein namaz ki fazilat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 1188
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة , قال: اخبرني عبد الملك بن عمير، عن قزعة , قال: سمعت ابا سعيد رضي الله عنه اربعا , قال: سمعت من النبي صلى الله عليه وسلم، وكان غزا مع النبي صلى الله عليه وسلم ثنتي عشرة غزوة.
Hum se Hafs bin Umar ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Abdul Malik ne Qazah se khabar di , unhon ne kaha ke mein ne Abu Saeed razi Allahu anhu se chaar baatein sunein aur unhon ne batlaya ke mein ne unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna tha , Aap ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath barah jihad kiye thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 586
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عطاء بن يزيد الجندعي، انه سمع ابا سعيد الخدري، يقول: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" لا صلاة بعد الصبح حتى ترتفع الشمس، ولا صلاة بعد العصر حتى تغيب الشمس".
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya , unhon ne Saleh se yeh hadees bayan ki , unhon ne Ibn Shihab se , unhon ne kaha mujh se Ata bin Yazid Jundai Laithi ne bayan kiya ke unhon ne Abu Saeed Khudri raziyallahu anhu se suna . Unhon ne farmaya ke mein ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se suna , aap salla Allahu alaihi wa sallam farma rahe thay ke fajr ki namaz ke baad koi namaz sooraj ke buland hone tak na parhi jaye , isi tarah asr ki namaz ke baad sooraj doobne tak koi namaz na parhi jaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة