الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التهجد
Kitab: Tahajjud ka bayan
باب ما جاء فى التطوع مثنى مثنى:
Bab: Nafl namazen do do rak’aten kar ke parhna.
Hadith Number: 1163
حدثنا المكي بن إبراهيم، عن عبد الله بن سعيد، عن عامر بن عبد الله بن الزبير، عن عمرو بن سليم الزرقي، سمع ابا قتادة بن ربعي الانصاري رضي الله عنه , قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إذا دخل احدكم المسجد فلا يجلس حتى يصلي ركعتين".
Hum se Makki bin Ibrahim ne byaan kiya , un se Abdullah bin Saeed ne , un se Aamir bin Abdullah bin Zubayr ne byaan kiya , unhon ne Amr bin Sulaym Zarqi se , unhon ne Abu Qatadah bin Rabee Ansari sahabi razi Allahu anhu se , unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya jab koi tum mein se masjid mein aaye to na baithe jab tak do rakat (Tahiyatul Masjid ki) na parh le .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 444
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن عامر بن عبد الله بن الزبير، عن عمرو بن سليم الزرقي، عن ابي قتادة السلمي، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا دخل احدكم المسجد فليركع ركعتين قبل ان يجلس".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya unhon ne kaha ke humein Imam Malik ne Aamir bin Abdullah bin Zubair se yeh khabar pehnchai , unhon ne Amr bin Sulaim Zurqi ke wastay se bayan kiya , unhon ne Abu Qatada Salmi raziyallahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya jab tum mein se koi shakhs masjid mein dakhil ho to baithne se pehle do rakat namaz parh lay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة