الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التهجد
Kitab: Tahajjud ka bayan
باب من تسحر فلم ينم حتى صلى الصبح:
Bab: Is bare mein jo sehri khane ke baad subah ki namaz parhne tak nahi soya.
Show diacritics
Hadith Number: 1134
حدثنا يعقوب بن إبراهيم , قال: حدثنا روح , قال: حدثنا سعيد، عن قتادة، عن انس بن مالك رضي الله عنه،" ان نبي الله صلى الله عليه وسلم وزيد بن ثابت رضي الله عنه تسحرا، فلما فرغا من سحورهما قام نبي الله صلى الله عليه وسلم إلى الصلاة فصلى، فقلنا لانس: كم كان بين فراغهما من سحورهما ودخولهما في الصلاة؟ , قال: كقدر ما يقرا الرجل خمسين آية".
Hum se Yaqub bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha ke hum se Rawh bin Ubadah ne byaan kiya , kaha ke hum se Saeed bin Abi Arubah ne byaan kiya , un se Qatadah ne , un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur Zayd bin Thabit razi Allahu anhu donon ne mil kar sahari khayi , sahari se farigh ho kar Aap salla Allahu alaihi wasallam namaaz ke liye kharay ho gaye aur donon ne namaaz parhi . Hum ne Anas razi Allahu anhu se poocha ke sahari se faraghat aur namaaz shuru karne ke darmiyan kitna fasla raha ho ga ? Aap ne jawab diya ke itni der mein ek aadmi pachaas aayatein parh sakta hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 575
حدثنا عمرو بن عاصم، قال: حدثنا همام، عن قتادة، عن انس، ان زيد بن ثابت حدثه،" انهم تسحروا مع النبي صلى الله عليه وسلم، ثم قاموا إلى الصلاة، قلت: كم بينهما، قال: قدر خمسين او ستين"، يعني آية.
Hum se Amr bin Aasim ne yeh hadees bayan ki , kaha hum se Hammam ne yeh hadees bayan ki Qatada se , unhon ne Anas raziyallahu anhu se ke Zaid bin Thabit raziyallahu anhu ne un se bayan kiya ke un logon ne ek martaba Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke sath sehri khayi , phir namaz ke liye khare ho gaye . Mein ne darayaf kiya ke un dono ke darmiyan kis qadar fasla raha ho ga . Farmaya ke jitna pachaas ya saath ayat parhne mein sirf hota hai itna fasla tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 576
ح حدثنا حسن بن صباح، سمع روحا، حدثنا سعيد، عن قتادة، عن انس بن مالك،" ان نبي الله صلى الله عليه وسلم، وزيد بن ثابت تسحرا، فلما فرغا من سحورهما قام نبي الله صلى الله عليه وسلم إلى الصلاة فصلى"، قلنا لانس: كم كان بين فراغهما من سحورهما ودخولهما في الصلاة؟ قال: قدر ما يقرا الرجل خمسين آية.
Hum se Hasan bin Sabah ne yeh hadees bayan ki , unhon ne Rooh bin Ubada se suna , unhon ne kaha hum se Saeed ne bayan kiya , unhon ne Qatada se riwayat kiya , unhon ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam aur Zaid bin Thabit raziyallahu anhu ne sehri khayi , phir jab woh sehri kha kar farigh hue to namaz ke liye uthe aur namaz parhi . Hum ne Anas raziyallahu anhu se poocha ke aap ki sehri se faraghat aur namaz ki ibtida mein kitna fasla tha ? Unhon ne farmaya ke itna ke ek shakhs pachaas ayaten parh sake .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1921
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا هشام، حدثنا قتادة، عن انس، عن زيد بن ثابت رضي الله عنه، قال:" تسحرنا مع النبي صلى الله عليه وسلم، ثم قام إلى الصلاة، قلت: كم كان بين الاذان والسحور؟ قال: قدر خمسين آية".
Hum se Muslim Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Hisham ne bayan kiya, kaha hum se Qatada ne bayan kiya, un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne aur un se Zaid Bin Thabit (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath hum ne sahari khayi, phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) subah ki namaz ke liye kharay hue. Mein ne poocha ke sahari aur azan mein kitna fasla hota tha to unhon ne kaha ke pachas aayatein (parhne) ke muwafiq fasla hota tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة