الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التهجد
Kitab: Tahajjud ka bayan
باب من نام عند السحر:
Bab: Jo shakhs sahar ke waqt so gaya.
Show diacritics
Hadith Number: 1132
حدثني عبدان , قال: اخبرني ابي , عن شعبة، عن اشعث، سمعت ابي , قال: سمعت مسروقا , قال: سالت عائشة رضي الله عنها اي العمل كان احب إلى النبي صلى الله عليه وسلم؟ , قالت: الدائم، قلت: متى كان يقوم؟ , قالت: يقوم إذا سمع الصارخ"، حدثنا محمد بن سلام, قال: اخبرنا ابو الاحوص، عن الاشعث , قال: إذا سمع الصارخ قام فصلى.
Hum se Abdan ne byaan kiya , kaha ke mujhe mere baap Uthman bin Jabilah ne Shubah se khabar di , unhein Ashath ne . Ashath ne kaha ke mein ne apne baap (Sulaym bin Aswad) se suna aur mere baap ne Masrooq se suna , unhon ne byaan kiya ke mein ne Aisha razi Allahu anha se poocha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko kaun sa amal zyada pasand tha ? Aap ne jawab diya ke jis par hameshaigi ki jaye (khwah woh koi bhi nek kaam ho) mein ne daryaft kiya ke Aap (raat mein namaaz ke liye) kab kharay hote thay ? Aap ne farmaya ke jab murgh ki awaaz sunte . Hum se Muhammad bin Salam ne byaan kiya , kaha ke humein Abul Ahwas Salam bin Sulaym ne khabar di , un se Ashath ne byaan kiya ke murgh ki awaaz sunte hi Aap kharay ho jaate aur namaaz parhte .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6461
حدثنا عبدان، اخبرنا ابي، عن شعبة، عن اشعث، قال: سمعت ابي، قال: سمعت مسروقا، قال: سالت عائشة رضي الله عنها اي العمل كان احب إلى النبي صلى الله عليه وسلم؟ قالت:" الدائم"، قال: قلت: فاي حين كان يقوم؟ قالت:" كان يقوم إذا سمع الصارخ".
Hum se Abdan ne bayan kiya , kaha hum se hamare walid Usman bin Habla ne khabar di , unhein Shubah ne , in se Ash-as ne bayan kiya ke main ne apne walid Abu al-Shas-sa Saleem bin Aswad se suna , unhon ne bayan kiya ke main ne Masrooq se suna , kaha ke main ne Aisha razi Allahu anha se poochha , kaun si ibadat Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko zyada pasand thi , farmaya ke jis par hameshagi ho sake , kaha ke main ne poochha Aap raat ko tahajjud ke liye kab uthte thay ? Batlaya ke jab murgh ki aawaz sun laite .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6462
حدثنا قتيبة، عن مالك، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة، انها قالت:" كان احب العمل إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم الذي يدوم عليه صاحبه".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , in se Imam Malik ne , in se Hisham bin Urwah ne , in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko sab se zyada pasandida woh amal thu jis ko aadmi hamesha karta rahe .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6463
حدثنا آدم، حدثنا ابن ابي ذئب، عن سعيد المقبري، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لن ينجي احدا منكم عمله"، قالوا: ولا انت يا رسول الله؟ قال:" ولا انا، إلا ان يتغمدني الله برحمة سددوا، وقاربوا واغدوا، وروحوا وشيء من الدلجة والقصد القصد تبلغوا".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya , kaha hum se Ibn Abi Zhayb ne bayan kiya , in se Saeed Muqbiri ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”tum se kisi shakhs ko is ka amal najat nahi dila sake ga .“ Sahabah ne arz ki aur Aap ko bhi nahi ya Rasool Allah ? Farmaya ”aur mujhe bhi nahi , siwa is ke ke Allah Ta'ala mujhe apni rahmat ke saye mein le le . Pas tum ko chahiye ke durusti ke saath amal karo aur miyana-rawi ikhtiyar karo . Subah aur shaam , isi tarah raat ko zhara sa chal liya karo aur aitidal ke saath chala karo manzil e maqsud ko pahunch jao ge .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة