الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الكسوف
Kitab: Suraj gahan ke mutaliq bayan
باب الدعاء فى الخسوف:
Bab: Sooraj grahan mein dua karna.
Hadith Number: 1060
حدثنا ابو الوليد، قال: حدثنا زائدة، قال: حدثنا زياد بن علاقة، قال: سمعت المغيرة بن شعبة، يقول: انكسفت الشمس يوم مات إبراهيم، فقال الناس: انكسفت لموت إبراهيم فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن الشمس والقمر آيتان من آيات الله لا ينكسفان لموت احد ولا لحياته، فإذا رايتموهما فادعوا الله وصلوا حتى ينجلي".
Hum se Abul Waleed Tayalisi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Zaidah bin Qudamah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ziyad bin Ilaqah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Mugheerah bin Shu'bah razi Allahu anhu se suna ke unhon ne kaha ke jis din Ibrahim razi Allahu anhu ki maut hui sooraj grahan bhi usi din laga . Is par baaz logon ne kaha ke grahan Ibrahim razi Allahu anhu (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke sahibzade) ki wafaat ki wajah se laga hai . Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke sooraj aur chaand Allah Ta'ala ki nishanion mein se do nishan hain . Un mein grahan kisi ki maut o hayaat ki wajah se nahi lagta . Jab ise dekho to Allah paak se dua karo aur namaaz parho ta'aanke sooraj saaf ho jaye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1043
حدثنا عبد الله بن محمد، قال: حدثنا هاشم بن القاسم، قال: حدثنا شيبان ابو معاوية، عن زياد بن علاقة، عن المغيرة بن شعبة، قال: كسفت الشمس على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم يوم مات إبراهيم، فقال الناس: كسفت الشمس لموت إبراهيم، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن الشمس والقمر لا ينكسفان لموت احد ولا لحياته، فإذا رايتم فصلوا وادعوا الله".
Hum se Abdullah bin Muhammad Musnadi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Hashim bin Qasim ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shaiban Abu Muawiyah ne byaan kiya , in se Ziyad bin Ilaqa ne byaan kiya , in se Mughirah bin Shubah razi Allahu anhu ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein sooraj gahan is din laga jis din (Aap salla Allahu alaihi wasallam ke sahibzade) Ibrahim razi Allahu anhu ka intiqal hua baaz log kehne lage ke gahan Ibrahim razi Allahu anhu ki wafat ki wajah se laga hai . Is liye Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke gahan kisi ki maut o hayat se nahi lagta . Albatta tum jab ise dekho to namaaz parha karo aur dua kiya karo .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة